Tuesday, July 8, 2025
HomeWorldZaireen Masjid Nabwi ke liye 4 paidal zameen doze rastay tayyar

Zaireen Masjid Nabwi ke liye 4 paidal zameen doze rastay tayyar

 

Madina Munawwara ki Development Authority ney Masjid Nabwi ki ziyarat ke liye aney walay zaireen ki sahoolat aur sadkon par traffic ka boojh kam karne ke liye chaar zameen doze surangen (under paas) tayyar kiye hain. Al Arabia dot net ke mutabiq Madina Munawwara Development Authority ki taraf se jari kardah aik bayan mein kaha gaya hai ke Masjid Nabwi ke zaireen ke liye yeh nai sahoolat Madina ke governor shehzada Faisal ban Salman bin Abdul Aziz ki masaaye ka nateeja hai. Paidal under paas number 2 aur 3 ki lambai 125 meter hai jin ke dono atraaf mein chaar electric seedhiyan aur mazoor afraad ke liye aamad wo raft ke rastay baneye gaye hain. Majmoi taur par surangoon ke andar 12 barqi seedhiyan aur aam seedhiyan bhi tayyar ki gayi hain jin se guzar kar Masjid Nabwi ke shumali simt tak ba aasani pouncha ja sakta hai. un paidal raastoon ki tayari se jahan zaireen ko Masjid Nabwi taq barah e raast rasai ki sahoolat miley gi wahein Masjid ke gird markazi maqam tak gadiyon ke rush se bhi bacha jasakay ga. Masjid Nabwi taq paidal rasai ke liye tayyar kardah un charon zameen doze raastoon ko jadeed tareen sahulaton se aarasta kya gaya hai. surangoon ko thanda rakhney ke liye ayyrkndishn ka bandobast hai. aag lagney ki soorat mein aag bujhaney ke alaat, roshni, Hidayat ke liye behtareen sound system, shehrion ki mehfooz naqal wo harkat ke liye monitoring camera aur jagah jagah shehrion ki zaroori reh numai ke liye screen nasb hain. yeh charon zameen doze rastay Masjid Nabwi ke qareeb waqay colonies se marboot hain. salam tunnel Masjid Nabwi ke junoob maghrib mein, Al Awali junoob mashriq ki simt aur do nai surangen Masjid ke shumali markazi ilaqay se milaane ke liye tayyar ki gayi hain.