Saturday, May 18, 2024
HomeIndia”YSR Raythu Bharosa Scheme “ki raqam mein kya gaya izafah

”YSR Raythu Bharosa Scheme “ki raqam mein kya gaya izafah

Amravati : pandrah October Mangal ko YSR Raythu  bharosa scheme ke aaghaz se sirf aik din qabal peer ke roz aandhra pradesh hukoomat nay is scheme ki raqam ko 12 hazaar 500 se badha kar 13 hazaar 500 rupiye kar diya hai. aandhra pradesh ke wazeer aala YS Jagan mohan reddy nay YSR Raythu bharosa scheme ke iftitahi programme se mutaliq jaiza ijlaas ke douran yeh faisla kiya .

YSR Raythu  bharosa scheme ke tehat kisanon ko teen aqsaat mein raqam ada ki jayegi. Wazeer e ziraat kursala kinna baabu nay kaha ke yeh faisla kisanon ki darkhwast ke tanazur mein liya gaya hai, jinhoun nay jaiza ijlaas mein shirkat ki thi .

Hukoomat nay is scheme ko chaar saal se bdhahakar paanch saal karne ka bhi faisla kiya hai. Itwaar ke roz, hukoomat nay aik GO jari kiya, jis ke zariye hukoomat ney scheme ke liye budget mukhtas karnay ke liye 5, 510 crore rupiye jari kiye they. algaraz mangal ko Nellur zila ke saropallay mein wazeer aala YS jagan mohan reddy ke Zariye YSR Rythu bharosa scheme ke iftitah ki mukammal tayyariyan ho chuki hain.