Monday, May 20, 2024
HomeIndiaYSR Congress rukan parliament ki Security mein izafah kiya

YSR Congress rukan parliament ki Security mein izafah kiya

Amravati: Markaz ne aaj YSR Congress ke rukan Parliament Raghu Ram Krishnan Raju ki Security mein izafah kiya jo hukoomat ke faislon mein naqais ki nishandahi par musalsal khabron mein hain. inhen jaan se maarny ki dhamkian mil rahi hain jis ke baad wo markazi wizarat dakhla se rujoo hue aur Security mein izafah ki khwahish ki. Un ki is darkhwast par markazi wizarat dakhla ne un ko Y zumra ki Security faraham kar di.

Samjha jata hai ke rukan Parliament ny haal hi mein police se shikayat karte hue kaha tha ke YSR Congress party ke leaders ny halqa mein anay par un ko jaan se maarny ki dhamki di thi. Ye kehte hue ke un ki jaan ko khatrah hai. Unhoun ny speaker Log Sabha Om Birla ku maktoob rawana karte hue kaha tha ke wo awaami masail ke hal ke liye apne halqa mein ja nahi par hai hain.

Unhoun ne markazi daston ke zareya Security faraham karne ki khwahish ki thi. Baad azan unhoun ne wazeer difaa Rajnath Singh se bhi mulaqaat karte hue tahaffuz faraham karne par zoor diya tha. Unhoun ne markazi mamlikati wazeer-e-dakhla Kishan Reddy se bhi mulaqaat ki taakay Security ke masail par tabadlah khayaal kiya jasake. Unhoun ne wazeh kiya tha ke Security ki farahmi par hi ow apne halqa mein jayen ge jis par markazi wizarat dakhla ne un ko Y zumra ki Security faraham ki.