Monday, April 21, 2025
HomeSliderYouTube par qabil aitraaz mawaad se Bachon ko bachaney ke liye iqdamaat

YouTube par qabil aitraaz mawaad se Bachon ko bachaney ke liye iqdamaat

New York: YouTube Videos dekhney ke liye duniya ki maqbool tareen site Computer ya Mobile App hai jis ka istemaal bachay bhi bohat ziyada karte hain aur Walidain ko fikar la-haq hoti hai lekin ab Google neh is mein kaafi kuch badalney ka faisla kiya hai. Tafseelaat ke mutabiq YouTube mein bachon ki Videos ko mean app se hata kar sirf YouTube Kids App tak makhsoos karne ka faisla kiya gaya hai. Yeh faisla is waqt kiya gaya jab Google ko YouTube mein bachon ke mawaad ke hawalay se kaafi masaeel ka saamna hai aur woh is se bachney ke liye policy mein ahem tabdeelian kar raha hai.

Kaha gaya hai ke bachon se mutaliq tamam Videos YouTube se hata kar Kids App mein muntaqil ki jayen gi jabkay is mein Auto Play Feture ko band kardiya jaye ga. Un tabdeelion se Google ki ishtihari aamdani to mutasir hogi lekin umeed ki jarahi hai bachay qabil aitraaz mawaad se bach saken ge. Is waqt YouTube mein qabil aitraaz mawaad ke hawalay se un ki ranking down aur rasai ko mehdood kiya jata hai lekin is se masail par qaboo mumkin nahi ho raha hai. Is hawalay se Google neh abhi hatmi faisla nahi kiya aur Google ke CEO Sundar Pichai YouTube ke masail par qaboo paney ke liye ziyada mutharrak kirdaar ada kar rahay hain. Haal hi mein New Zealand ke shehar Christchurch mein Msajd par hamlay ki Video aur bachon ke jinsi istehsal karne walay Groups ke mawaad ko Ricommand karne walay algoritam par company ke andar bhi kaafi ehtijaj dekhnay mein aaya tha.

Company ki janib se bachon ke tahaffuz ke liye hazaron Videos mein tabseron par pabandi bhi Aayed ki gayi hai. Is report par YouTube ki aik tarjuman neh kaha ke hum YouTube ko behtar bananay ke liye kaafi cheezon par ghour kar rahay hain aur kuch ta haal khayalat hi hain jabkay deegar par kaam ho raha hai. Doosri janib America ke federal trade commission neh bachon ke tahaffuz mein nakami aur bachon ki privacy ki khilaaf warzi ke hawalay se YouTube ke khilaaf tehqiqaat shuru kar di hai. Aik report ke mutabiq yeh tehqiqaat is waqt ikhtetami marahil mein hai aur company ko jarmane ka saamna ho sakta hai.