Thursday, March 28, 2024
HomeJurmYoutube ke zareya daketi seekhnay wala nojawan girftar

Youtube ke zareya daketi seekhnay wala nojawan girftar

Hyderabad: Cyber Technology ne hamari yomiya zindagi ko kaafi had tak aasaan aur behtar banadiya hai yahan wajah hai ke lockdown ke waqt mein bhi hum apne youmiya Umoor ki anjaam dahi ba-aasani karpaye hain.

Cyber Technology ki badolat hi talba mehfooz mahol mein respective gharoun mein taleem haasil kar rahay hain jabkay youtube par rozanah hazaron Afraad apni salahiyaton ko farogh dainay ke liye naye naye hunar seekhnay hain lekin kuch afraad aisay bhi hain jo kay takhreeb kariyon aur jaraim ki anjaam dahi ke liye Youtube ka istemaal karte hain. Aisa hi ek waqea Hyderabad mein pesh aaya jahan youtube se chori karne ka tareeqa seekhnay wala shakhs police ki hirasat mein hai.

Tafseelaat ke mutabiq Rachakanda police ne ek nojawan ko girftar kiya hai jisne ek khatoon par chaako se hamla kiya aur iske sonay ki zanjeer aur phone loot liya. Mulzim, naveen guddam mobayyana tor par youtube videos ke zareya daketi karna seekhta tha. Police ne Naween se is jurm ke liye zanjeer, phone, ek churee aur ek motocycle zabt karte hue usay juditional remand par bhaij diya. CCTV footage se milnay walay shawahid ne police ko teen ghantay mein is muamlay ko hal karne mein madad faraham ki. Naween hafta ke roz mutasirah aur madiyu ke ghar gaya kyunkay woh apne ghar ka kuch hissa kiraya par dainay ki khwahan thi.

Is ke baad Is ne Is ka phone le kar apne UPI app ke zareya adaigi ke liye iske number se darkhwast bhijwa di. Jaisay hi is ne usay apna phone diya is ne khatoon par hamla kardiya. Ibtidayi tafseelaat mein yeh haqeeqat manzar-e-aam par aayi hai ke mulzim nojawan youtube ke zareya is tarhan ke jaraim ki anjaam dahi ki takhreeb kaari sikhi thi. Doosri janib police aksar mawaqay par sherhiyoun may shaoor bedaar karne ke liye kehti aati hai ke anjaan logon se mamlaat karte waqt ziyada hooshiyar rahen.