Monday, May 20, 2024
HomeIndiaYoum-e-Jamhooria Prayed ke liye Maghribi Bengal ki Jhanki ko kiya gaya mustard

Youm-e-Jamhooria Prayed ke liye Maghribi Bengal ki Jhanki ko kiya gaya mustard

New Delhi: Is saal Youm-e-Jamhooria ki Prayed mein Maghribi Bengal ki Jhanki nazar nahi aeyegi. Maghribi Bengal ki Jhanki ki tajweez ko muntakhib karne wali Expert Committee ke kuch aitrazaat ke bad charshumbe ko Maghribi Bengal ki Jhanki ki Youm-e-Jamhooria mein shamolait ki tajweez ko kharij kar diya hai. Wizarat difaa ne ek bayan mein ye baat kahi.

margazi aur Maghribi Bengal pehlay hi CAA aur NRC ke muamlay par aamnay samnay hain, Aisi sorat e haal mein Jhanki ki numayesh ki tajweez ko kharij karne se baat aur badh sakti hai, Experts committee ne rawan saal ke liye 16 reyasatoun, Margazi ilaqoun aur 6 wezaratoun aur mehakmoun ki Jhanki ko manzoori day di hai. Jis mein fun saqafat , Musawari, Mujasma Saazi, Moseeqi, Fun taamer, choreography  aur deegar shobo se mutaliq Jhanki shaamil hai.

Maghribi Bengal hukoomat ke zaraye ke mutabiq, Un ki taraf se riyasat mein taraqiyati kamoun, Pani ke tahaffuz, Maholiyati tahaffuz ke mauzo par Jhanki ki bohat saari tajawes pesh ki gayeen. 2019 mein. Youm-e-Jamhooria Prayed mein Maghribi Bengal ki Jhanki ko shaamil kiya gaya tha.

 

Wazeh hoke, Maghribi Bengal mein. Mamata Banerjee musalsal NRc aur CAA ke khelaaf muhim chala rahi hain. Mamata Banerjee ka kehna hai ke wo kisi bhi haalat mein NRC aur CAA ko un ki riyasat mein nafiz nahi honay dengi. 23 decemeber 2019 ko, Mamata ne NCP  sar barah Sharad Pawar ko ek khat likha aur NRC aur CAA ke khilaaf chalaye jaany wali tehreek ki himayat karne ki appeal ki.

Mamata ke khat ke jawab mein, Sharad Pawar ne 27 decemeber 2019 ko ek khat bheja tha, Jis mein Mamata Banerjee ke zareya NRC aur CAA ke khilaaf chalaye jaany wali tehreek ke liye apni himayat ka izhaar kiya tha. –YTN STAFF