Hyderabad : Telugu film adakar wo Jana Sena party ke sadar Pawan Kalyan ne kaha hai ke unki party jana sena sirf do ahem qaumi tehwar manayegi, jo poori hindustani qoum ko muttahid karegi. ek Youm-e-Azadi 15 August ko aur dosra yom-e-jamhooria 26 January ko. ye dono tehwar bohat si azeem shaksiaat ki qurbaniyoun ka samar hain, jo jailoun mein qaid rahay aur mulk ki azaadi ke liye apni jaanun ka nazrana paish kiya.
Unhon ne yaqeen dilaya ke jana sena party un shaksiaat ki qurbanion ko yaad karte hue unki qoum parasti ke jazbay ko aagay badhayegi.
Pawan kalyan jumeraat ko Mangla Giri mein jana sena party ke daftar mein Youm-e-Azadi ki taqreeb ke mauqa par qaumi parcham lehraane ke baad ek ijlaas se khitaab kar rahay the.
Pawan kalyan ne takeed ki ke ”ek din mein Youm-e-Azadi ki taqrebaat ka ehtimaam karna kaafi nahi hai. yeh taqrebaat kam az kam ek hafta tak hona chahiye. 15 august ko qaumi parcham lehraane se ek hafta qabal, har ek gaon ke logon ko azeem azaadi pasandon ki qurbanion ko yaad dilana chahiye. aur inhen zabar dast kharaaj tehseen paish karna chahiye, aur youm-e-azaadi manana chahiye, yeh mera khawab hai. tabhi nojawan naslen mulk ki Azmat aur azaadi pasandon ki qurbanion ki qader se waaqif hongi. kash woh din aindah ayen.
Jana sena party political affairs committee ( PAC) ke chairman Nadendla Manohar ne party kaarkunon aur qaideen ka shukriya ada kiya, jinhon ne Youm-e-Azadi ki taqrebaat mein shirkat ki. unhon ne yaad dilaya ke yom jamhooria ke mauqa par party umoor qaumi parcham lehraane ke baad shuru kiye gaye they aur is waqt se party ko mazboot bananay ki koshishen jari hain.
Unhon ne party kaarkunon ki ke woh azeem azaadi pasandon ki qurbanion ko yaad rakhen aur unke naqsh-e-qadam par chalein. –YTN STAFF