Saturday, October 12, 2024
HomeIndiaYom-e-jamhooria ke parade par corona ke asraat, kayi riwayati muzahirey nahi honge

Yom-e-jamhooria ke parade par corona ke asraat, kayi riwayati muzahirey nahi honge

New Delhi: Coronavirus ka Hindustan ke 72th  yom-e-jamhooria ke mauqa par Rajpath par munaqqid parade par bhi asar nazar aayega aur is martaba parade laal qilah ke bajaye national stadium per he khatam hojaega. Corona ki wajah se samaji doori paish-e-nazar parade mein hissa lainay walay marching daston mein afraad ki tadaad bhi kam kardi gayi hai. Retired fojion ka dasta Parade mein shaamil nahi gaya gaya hai. Is ke alawa motocycle par herat angaiz kartab dikhaane wala dasta bhi aapne fun ka muzahira nahi kar payega aur sath hi shaiqeen ki tadaad bhi kaafi kam karne ka faislay kya gaya hai.

Corona ke bohraan ke douran Bangladesh ki tenu foujon ka marching dasta is martaba bhi parade mein tawajah ka markaz hoga.

Parade ke secondan command officer aur fouj ke Dehli ilaqay ke cheif of staff major general ne parade ke baray mein munaqqid press conference unhon ne kaha ke is martaba sab se pehlay to corona ki wajah se parade ka muqarara faasla kam karte hue usay laal qilah ke bajaye national stadium par khatm kiya jayega. Dosray is martaba marching daston mein shaamil jawano ki tadaad 144 ke bajaye kam karkay 96 ki gayi hai. Covid ki wajah se sabiq fojion ka dasta bhi Rajpath par nahi dikhayi dayga. Apne herat angaiz kartbon se shaiqeen ki tawajah apni taraf mabzol karne walay motorcycle dastay ke janbaaz jawan bhi is martaba Rajpath per parade ki shaan nahi badhayainge.