Tuesday, April 30, 2024
HomeSliderYom e jamhooria ke mauqa par Hindustani Team New Zealand par sabqat...

Yom e jamhooria ke mauqa par Hindustani Team New Zealand par sabqat ki khwahan

Dosray T20 mein bhi himaliyai Score ki umeed, match dopehar 12 :20 ko shuru hoga

Oakland: Hindustani team ne New Zealand ke doray mein kamyaab aaghaz se apne hauslay buland karlene aur team etwar ko yom e jamhooria ke din dosray T20 mein fatah haasil karne aur 5 matchoun ki series mein apni bartari 2-0 karne ke iraday se utare gi.

Hindustani captain Virat Kohli ne team ke masroof schedule par fikar zahir ki thi lekin pehla T20 muqaabla jeetnay ke baad unhoun ne kaha ke ye dekhna ziyaad hay ahem hai ke team ne New Zealand mein pounchanay ke 48 ghantay baad hi kamyabi haasil ki. Hindustan ki Australia ke khilaaf 3 matchoun ki Oneday series 19 January ko khatam hui thi aur ab usay New Zealand ke khilaaf 5 musalsal T20 match khailnay hain.

Hindustan ne Oakland ke isi maidan mein pehlay muqablay mein har lehaaz se shandaar karkardagi ka muzahira kiya aur apne T20 tareekh mein record chothi martaba 200 se ziyada nishana ka kamyabi se takub karte hue kamyabi haasil ki. New Zealand ne halaank 203 Runs ka himaliyai score banaya tha lekin hindustaan ne 19 over mein hi match khatam kar diya.

Is kamyabi mein sab se ziyada misbet baat yahi rahi ke is ne 230 ke Score ki taraf badh rahi Kiwi team ko 203 tak mehdood kiya aur hadaf ka takub karte hue is ne match ko aakhri over tak nahi janay diya. Hindustan ne 6 gaind pehlay hi match khatam kar diya.

Shreyas Iyer ne pehli martaba beroun sar zameen par T20 muqaabla khela aur jab wo Craze par utre to captain Virat out hochuke they. Ye haalat kisi bhi khiladi ko dabao mein laa sakti thi lekin Iyer ne tahhaamul aur jarehana khail ka behtareen taal mil pesh kiya aur maizban team ko ghalba haasil karne ka koi mauqa nahi diya.

Team ke opener K.L Rahul wicket keeper batsman ka masla bhi hal karte nazar aa rahay hain. Rahul ki behtareen batting aur wicket ke peechay un ka theek thaak karkardagi team ko ek tawazun day rahi hai jo Rishabh Pant se nahi mil pa rahi thi. Rahul ki ye ifadiyat ne Pant ko filhaal 11 se bahar kar diya hai.

Pehlay match ki jeet mein Hindustan ki agar koi fikar rahi to wo bowling ho sakti hai jis ne match mein 200 se ziyada Run day diye lekin New Zealand ke maidan chhote hain jahan baday score ki tawaqqa ki ja sakti hai.

Dosra muqaabla bhi isi maidan par hai aur Hindustani team kamyabi ke silsilay ko dosray muqablay mein bhi barqarar rakhnay ki koshish kere gi jabkay maizban team ki koshish wapsi kar ke series mein barabari haasil karne ka hoga.

New Zealand ke liye is shikast mein bhi achi baat yahi rahi ke is ke captain kane Williamson form mein wapas aa chuke hain aur un ke sath 3 batsmanoun ne nisf century banai lekin maizban team ko apni bowling ko durust karna pade ga taakay wo hindustani batting par rokk laga saken. –YTN STAFF