Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaYom azadi ki tqarib aur deegar mauqa par plastic ke trirange istemaal...

Yom azadi ki tqarib aur deegar mauqa par plastic ke trirange istemaal nah karne ki hadaayat

Yom azadi ki taqrebaat is martaba hindustan bhar mein ziyada josh o kharosh se manaye jane ke imkanaat hain kyunkay aik janib fil haal hindustan bhar mein corona ka bohraan qaboo mein hai to doosri janib Tokyo olympics mein qaumi khiladion ne mulk ke liye ab tak ka sab se behtareen muzahira karte hue 7 medal haasil kiye hain aur mulk ke liye medal haasil karne khiladion ki un ki watan wapsi par shandaar istaqbaal bhi kiya hai. is tanazur mein yeh umeed ki jarahi hai ke olympics ke mahdanon mein hindostan ka naam roshan karne walay yeh khilari azadi ke tqarib mein maheman khusoosi ke tor par shirkat karte hue tqarib ko dilchaspi mein mazeed izafa karen ge.

Hindustan ki azadi ki tqarib se qabal markaz reyaston ke liye chand Hadayat jari ki hain jis mein kaha gaya hai ke reyasti hakoomaten yeh yakeeni banayen ke awam plastic ke qaumi jhndon ka istemaal nah karen kyunkay un ki talaafi aik amli aur aalmi masla hai ke is terhan ke mawaad se banay trnge ki munasib talfi yaqini banaya jaye. markazi wizarat dakhla ne tamam reyaston aur markaz ke zair e intizam ilaqon ke naam tehreer kardah –apne maktoob mein kaha hai ke qaumi parcham mulk ke logon ki umedon, umangon ki numaindagi karta hai, is liye is ka hamesha ehtram kiya jana chahiye.

Pagham mein kaha gaya hai ke qaumi parcham ke liye har aik ke zehen mein pyar, ehtram aur wafadaari hai. is ke bawajood qaumi parcham ki numayesh par nafiz honay walay qawaneen aur qawaid ke hawalay se awam ke sath hukoomat ki tanzeemon, agencio mein baydaari ka wazeh fuqdaan hai.

Wizarat dakhla ne reyaston aur markaz zair e intizam ilaqon se kaha hai ke is ne mushahida kiya hai ke ahem qaumi saqafati aur khelon ke events ke mauqa par kaghaz se banay qaumi parcham ki jagah plastic se banay qaumi jhanday bhi istemaal kiye ja rahay hain. Kyun k plastic ke jhanday kaghazi jhndon ki terhan nahi hain aur jhandom ke Waqar ke mutabiq plastic se banay qaumi jhndon ki munasib talfi ko yakeeni banana, yeh aik amli masla bhi hai, is liye plastic ke jhndon ka istemaal nah kiya jaye.