Friday, May 3, 2024
HomeIndiaYogi ke Budget par Priyanka ki shadeed tanqeed

Yogi ke Budget par Priyanka ki shadeed tanqeed

New Delhi: Uttar Pradesh ki Congress Incharge aur journal Secretary Priyanka Gandhi ne Yogi Adityanath ki hukoomat ki janib se pesh kardah Budget par tanz karte huve kaha hai ke Budget to agaya hai lekin is mein logoun aur khsosan kisanoun ke masail ka koi hal nahi hai. Priyanka Gandhi ne kisanoun ke kuch masail ko bhi uthaya.

Priyanka Gandhi ne tanz karte huve kaha ke, Uttar Pradesh hukoomat ka Budget aaya hai. Unhoun ne kaha ke hukoomat sirf Budget le kar aayi hai aur is mein riyasat ke kisanoun se mutaliq kisi bhi maslay ke hal ke liye koi qadam nahi uthaya gaya hai.

Priyanka Gandhi ne Twit mein likha, Uttar Pradesh hukoomat ka budget aaya hai. Kisanoun ke aawara janwaroun ke maslay ka hal is mein se gayab hai. Gannay ka baqaya jaat gayab hai. Kisanoun ki fasal ki barbadi ka muawza gayab hai. Kisanoun ki fasal ke daam ki baat gayab hai.

Priyanka Gandhi ne apne Twit ke sath ek Video bhi shaya ki hai jis mein kayi kisaan apni pareshani ke baray mein baat kar rahay hain. Is video ko budget ke baad kisaan ki raye ka naam diya gaya hai.

Wazeh rahay ke mangal ke roz UP Assembly mein Yogi ki hukoomat ne budget 2020 pesh kiya tha. 5 lakh Crore se ziyada ke is Budget par tamam Opposition jamaatoun ne tanqeed ki hai. Budget par apna talkh tabsarah karte huve Congress ke reyasti sadar Ajay Kumar Lallu ne kaha ke adad o shumaar ki baazi giri mein maahir Yogi hukoomat ne nojawanoun aur kisanoun ke sath fraib kiya hai.

Lallu ne kaha ke guzashta 2 saal ke andar riyasat mein nojawan be rozgaroun ki tadaad 12.5 lakh tak badh gayi hai. Budget mein subukdosh teacheroun ko sanwi taleemi Board mein nowkari dainay ka elaan be rozgaar nojwan ke sath aetmaad shikni hai. Wahein farogh hunar mandi scheme bhi fraib dahi par mabni hai. –YTN STAFF