Lacknow: Shehriat Tarmeemi Qanoon ke khilaaf saaray Hindustan mein secular aur Hindustan ko taraqqi ki raah par dorane mein dilchaspi rakhne walay har hindustani saraapaa ehtijaj bana huva hai to doosri janib mutasib zehniat ke sayasatdan, Police aur Bhagt sharpasandioun mein masroof hain. Hindustan mein jahan ek janib CAA ke khilaaf ehtijaj horaha hai wahein hokoomaten ahtjajyoun ke hauslay past karne ke liye zulm o jabar ki dastan raqam karne mein koi kasar nahi chodrahi hain aur sab se ziyada Yogi ki hukoomat mein Uttar Pradesh mutasir hai.
Muzaffarnagar jail se 4 be qasoor logoun Mohammad Farooq , Ateeq Ahmed , Shoiab aur Mohammad Khalid ki taqreeban 10 din ke baad azaadi mili. Masoom afraad ki is azaadi ke baad Uttar Pradesh hukoomat aur police ke davoun ki qalee khelni shuru hogayi hai ke kis terhan be qasoor logoun ko nishana banea gaya hai.
Muzaffarnagar ke Assistant police Superintendent Satpal ne sahafioun se baat cheet ke douran kaha ke jin 4 logoun ko azad kiya gaya hai un mein se ek sarkari mehakma mein typist hai aur usay CRPC si ki dafaa 169 ke tehat azad kiya gaya hai. Is dafaa mein ye baat kahi gayi hai ke jaanch ke baad is ka kisi bhi tashadud mein haath nahi paaya gaya hai.
Doosri taraf Rampur mein zila intizamia ne 28 logoun ko awaami malkiat ke nuqsaan ki bharpayi ke liye 25 lakh rupay jama karane ka notice bheja gaya hai. Zila Magistrate Aunjaneya Kumar Singh ke bamujab un mein se 2 logoun ke khilaaf beje gaye notice ko wapas liya ja sakta hai kyunkay tashadud mein un ki shamoliat ka pata nahi chalta hai. unhoun ne bataya ke unhoun ne tashadud mein shaamil logoun ki shanakht karli hai.
Dar-ul-hukoomat Lacknow mein bhi hakkaam ne kaha ke ek khatoon ne apne betay ko be qasoor saabit kar diya hai. Is ka beta is waqt jail mein hai aur is ki rehaie ka hukum jald jari hoga. Uttar Pradesh ke Additional Chief Secretary Awanish Awasthi ne kaha ke hukoomat ne sabhi maimloun ka tajzia karne ka faisla kiya hai aur jo bhi be qasoor paaya jayega usay azad kiya jayega
Ghhor talabb hai ke is se qabal Uttar Pradesh hukoomat ne shehriat tarmeemi qanoon ( CAA ) mukhalif muzahiroun ke douran hue tashadud ki tehqiqaat ka zimma zila satah par SIT ( Special jaanch Team ) ke hawalay kiya hai. Un teamoun ki qayadat Additional Police Superintendent karenge. Team ka kaam aisay logoun ki shanakht karna hai jo asal maino mein tashadud mein shaamil they. SIT is liye tashkeel di gayi hai taakay kisi be qasoor ki giraftari nah ho aur agar wo ghalti se giraftari huva hai to usay azad kiya jaye.
Ye sab par ayaan hai ke giraftari kiye gaye afraad par mukhtalif daf-aat mein muqadmay darj kiye gaye hain. Un mein ghair qanooni jalsay, Qatal ki koshish, ghair qanooni rakhna andazi, Mujremana mansha aur sarkari mulazim par mujremana hamlay waghera shaamil hain. Un logoun par mujremana saazish tayyar karne aur sarkari malkiat ko nuqsaan pohanchane ka maamla bhi darj kiya gaya hai.
Civil Society aur siyasi partiyoun ke arakeen ka daawa hai ke police ne ek khaas tabqa ke gharoun par hamlay kiye aur samaji karkunaan ko giraftari kiya. Un mein bohat se be qasoor logoun ko bhi pathar baazi ke ilzaam mein giraftari kiya gaya. Police ne kaha hai ke pathar baazi mein taqreeban 200 police walay zakhmi hue hain.
Uttar Pradesh ke aisay ilaaqoun jahan aqliati tabqa se talluq rakhne walay logoun ki tadaad ziyada hai, Wahan is waqt police ka zulm zabardast khauf phela huva hai lekin ab zindagi dheeray dheeray mamool ki taraf lout rahi hai. Is ke bawajood logoun ke andar ek khauf ka mahol hai ke police kisi bhi waqt aa kar un ko nishana bana sakti hai. –YTN STAFF