Friday, May 17, 2024
HomeIndiaYogi hukoomat ki na-ahli, pathar ka kaarobar band, lakhoun mazdoor be-rozgaar, hukoomat...

Yogi hukoomat ki na-ahli, pathar ka kaarobar band, lakhoun mazdoor be-rozgaar, hukoomat ko crores rupiyoun ka nuqsaan

Lucknow:  Uttar pradesh mein yogi hukoomat ki nai policy ke sabab Mahoba zila waqay asia ki sab se badi pathar ki mandi mein kaam thap ho gaya hai. iske sabab is sanat se talluq rakhnay walay 2 laakh se ziyada mazdoor be roz gaar ho gaye hain. mazdooron ke sath hi pahadh ke thekedaron aur crusher malikon ki bhi kamar toot gayi hai. haalat yeh ho gayi hai ke 10 crore ki laagat walay stone crushers ki nelamee ki noubat aa gayi hai.

Riyasat ke Mahoba zila mawaqay kubrai qasbay mein asia ka sab se bada pathar bazaar hai. is qasbay ko pathar adyog nagri ke naam se bhi jana jata hai. Kubrai aur is ke aas paas taqreeban 350 stone crusher malikon ki kamar toot gayi hai. crusher malikon aur thekedaron neh zila intizamia se lekar reyasti hukoomat tak kankni policy mein islaah ki appeal ki, lekin samaat nahi honay par majburan un crusher malikon ko hadtaal karna padha hai. crusher malikon neh kaha hai ke hukoomat ki nai policy ke khilaaf unhon neh hadtaal karne ka faisla karliya hai.

Pathar ke is bazaar se yomiya taqreeban 6000 truck gatti lekar poorey mulk mein jatay the. ab 6 hazaar truck be-car khadey hain. qaumi Shah raah 34 par waqay toll plaza par sannata hai. hadtaal ke sabab is sanat se talluq rakhnay walay sabhi chhote baday kaarobar bhi band ho gaye hain. pahadon par kaam karne walay do laakh mazdoor be rozgaar ho gaye hain to wahein senkdon JCB driver, machine operator , hazaron truck driver, dhabe aur hotel walay aur yahan tak ke petrol pump ke bhi kaarobar mutasir hue hain.

Asia ke is sab se badey pathar bazaar se reyasti hukoomat ko salana 400 crore rupay ka khazana haasil hota hai. sirf is bazaar ka bijli ka bill hi har mahinay taqreeban 20 crore rupay rehta tha. hadtaal ki wajah se hukoomat ko arbaon rupay ka khasara honay ka imkaan hai. udher crusher malikon par stone crushers ki nelamee ki nobat aa gayi hai. Ek stone crusher laganay mein 3 se 6 crore rupay tak ki laagat aati hai. hadtaal se crusher ke liye bankon se liye crores ke qarz ada nahi ho panay par un crushers ki nelamee ki nobat aa gayi hai. –YTN STAFF