Friday, April 26, 2024
HomeOthersBusinessYes Bank par aayed pabandiyan barkhast, Awam ko raahat

Yes Bank par aayed pabandiyan barkhast, Awam ko raahat

New Delhi: Khangi shoba ke chouthay baday Bank Yes Bank Ltd ki tashkeel no ke sath hi pesey nikaalte sameit har terhan ki pabandi hata li gayi hai aur ab is ke gahak aam dinoun ki terhan lain deen kar saktay hain. Is Bank ke bohraan mein phasne ke baad 5 March ko Reserve Bank ne Bank se pesey nikaalne ki hadd 50 hazaar kar di thi aur is se ziyada pesey Bank se nikaalne par pabandi laga di thi. Ye hadd 30 dinoun ke liye tey ki gahi thi lekin hukoomat aur Reserve Bank ne fori qadam uthatay huve is ki tashkeel no karne ka faisla kiya jis se sirf 13 dinoun mein hi gahkoun ko aam Banking ki sahoolat milnay lagi hai.

Hukoomat ne 13 March ko der raat Bank ki tashkeelno ka aalamih jari kiya tha jis ke mutabiq Bank se pesey nikaalne par lagi pabandi shaam 6 bajey hata di gayi hai. Bank kaari Regulation Act 1949 ke tehat jari is aalamia mein Bank ke liye naye Board of Directors ki tashkeel ki gayi hai. State Bank Of India ke sabiq Chief Finance afsar aur Deputy Managing Director Prashant Kumar ko tashkeelno Yes Bank ka Chief Executive afsar muqarrar kiya gaya hai. Mahesh Krishnamurthy  aur Atul Bheda Executive Director banaye gaye hain. Reserve Of India Additional Directors ke tor par ek ya ziyada logoun ko muqarrar kar sakay ga.

 Notashkeel shuda Bank, Yes Bank ki purani sabhi deen darioun ko poora kere ga. Bank ke paas rakhi sabhi jama raqum aur deen daari, Deen daaroun ke huqooq mukammal tor par ghair mo-asar rahen ge. Bank ke sabhi mulazmeen ko kam az kam ek saal tak pehlay ki terhan thankhowa bhete mlitay rahen ge. Notification ke mutabiq Yes Bank se pesey nikaalte par lagi rokk 3 kaam ke dinoun mein hata di jaye gi aur Bank ke liye muqarrar intizamia saat dinoun mein daftar khaali kar deinge. notashkil shuda Bank ka muqarara sarmaya 6200 crore rupay hoga aur is ke Share ki qeemat 2 rupay hogi. Muqarara Share sarmaya 200 crore rupay bana rahay ga.

Kabeena ne bhi tashkeel no mansoobay ko manzoori di thi. Yes Bank mein State Bank Of India ne 49 feesad hissa daari li hai aur is ke Board Of Directors mein 2 rukan honge. Wo apne sarmaya mein se 26 feesad hissa daari ki 3 saal tak sarmaya kaari nahi kar sakay ga. Ye locking muddat hai. Deegar sarmaya karoun ke liye ye muddat 75 feesad aur 3 saal hai.

State Bank Of India ke zareya hukoomat ko sonpe gaye sarmaya ki tajweez ke mutabiq no tashkeel shuda Bank mein 11 hazaar crore rupay ka sarmaya kiya jaye ga, Jis mein State Bank 7250 Crore rupay sarmaya kaari kere ga. Is ke sath hi niji shoba ki 4 ahem maliyati companian HDFC Ltd aur ICICI Bank ek ek hazaar crore rupay sarmaya kere ga jabkay Axis Bank 600 crore rupay aur Kotak Mahindra 500 Crore rupay ka sarmaya kaari kere ga. Bhartia Jeevan Bema Nigham ( LIC ) ke bhi is mein sarmaya kaari karne ki baat hai lekin wo kitni raqam ki sarmaya kaari kere ga ye abhi wazeh nahi kiya gaya hai lekin Board of Directors ki manzoori ki bunyaad par hi ye sarmaya kaari kere ga. –YTN STAFF