Saturday, May 4, 2024
HomeIndiaYes Bank ke gahakoun ko anqareeb raahat milnay ka imkaan

Yes Bank ke gahakoun ko anqareeb raahat milnay ka imkaan

New Delhi: Hukoomat Hind ne khangi shoba ke chouthay baday Bank Yes Bank Ltd ki tashkeel noke hawala se aalamia jari kiya hai, Jis se is ke gahakoun ko jumaraat se nikasi ki chhuut mil sakti hai. Aalamiya ke mutabiq Banking Regulation Act 1949 ke tehat ye aalamia jari kiya gaya hai aur Bank ke liye naye Board of Director ki tashkeel di gayi hai. State Bank Of India ke sabiq Chief Finance afsar aur Managing Director Prashant Kumar phir se tashkeel diye gaye Yes Bank ka Chief Executive Officer aur Managing Director banaya gaya hai.

Punjab National Bank ke sabiq Non Working Chairman Sunil Mehta ko Bank ka Non Working Chairman muqarrar kiya gaya hai. Mahesh Krishnamurthy aur Atul Bheda Executive Director banaye gaye hain. Reserves Bank Of India Upper Director ki hesiyat se ek ya ek se ziyada afraad ko Director muqarrar kar sakay ga. Tashkeelno Yes Bank purani tamam leen deen ko poora kere ga. Tashkeelno Bank ke paas tamam Deposit ( Jama Raqomat ) aur Account Holders ke huqooq mukammal tor par ghair mutasir rahen ge. Dobarah se tashkeel diye gaye Bank ke tamam mulazmeen ko kam az kam ek saal tak pehlay ki terhan thankhowa bhatta milta rahay ga.

Aalamia ke mutabiq Yes Bank se Clearance par lagi rokk 3 karobari dinoun mein hata di jaye gi aur Bank ke liye muqarrar Administrator 7 din mein daftar khaali kar denge.

Tanzeem no Bank ki majaz sarmaya 6200 Crore rupay hogi aur is ke Share ki qeemat 2 rupay hogi. Majaz Share sarmaya 200 crore rupay barqarar rahay gi. Wazeer e Azam Narendra Modi ki sadarat mein kal kabeena ke ijlaas mein tashkeel no mansoobah ko manzoori day di gayi thi. Wazeer khazana Nirmila Sitharaman ne kaha tha ke State Bank of India is mein 49 feesad hissa daari lega aur is ke Board of Directors mai 2 rukan honge, Aur wo apni sarmaya kaari mein se 26 feesad hasas 3 saal tak nikaal nahi sakay ga. Ye locking muddat hai. Deegar sarmaya karoun ke liye ye hadd 75 feesad aur 3 saal hai.

Unhoun ne kaha ke guzashta 5 March ko Reserve Bank Of India ne Yes Bank ke Board Of Directors ko tahleel karte huve is Bank par pabandi aayed kardi thi aur is ke liye Administrator muqarrar kiya tha. 6 March ko tashkeel no mansoobah ka khadd-o-khaal jari kiya gaya aur is par milnay walay radd e amal ke baad is ko hatmi shakal di gayi jisay aaj manzoori day di gayi. Reserve Bank ne is Bank par pabandi laganay ke sath hi sarfeen ke liye nikasi ki hadd 50 hazar rupay muqarrar kardi gayi thi. Ye pabandi 30 din ke liye hai lekin ab hukoomat ne tashkeel no mansoobah ke liye aalamia jari honay ke baad 3 kaam ke denu mai is par se rokk ko hataane ki baat kahi hai. –YTN STAFF