Monday, May 6, 2024
HomeOthersHealthYemen mein 'Diarrhea' ki wabaa phoot padi: UN

Yemen mein ‘Diarrhea’ ki wabaa phoot padi: UN

Aqwama mutahidda (United Nations) ney khabardaar kiya hai ke Yemen mein Diarrhea ki waba aik baar phir be qaboo hokar khatarnaak hudood ko chone lagi hai. Aalmi idaara UN ney khabardaar kiya hai ke agar Yemen mein Diarrhea ki rok thaam ke liye mo-asar iqdamaat na kiye gaye toh is ke nateeja mein be panah insani jaanun ka nuksaan ho sakta hai. UN ke Secretary General ke muawin baraye insani umoor Mark Lowcock ney New York mein aik Press Conference mein kaha ke Yemen mein Diarrhea apni khatarnaak huduoon ko choo raha hai. Unhon ney kaha ke hum Yemen mein drought ko shikast dainey ke liye koshan hain magar hamein is par qaboo paney mein mushkilaat ka saamna hai. ‘UN’ ohdedar ka kahna tha keh tamam tar koshisho ke bawajood Yemen mein insani soorat e haal mein koi behtari nahi layi jaski hai. UN jung se mutasirah ilaaqon mein 8 lakh afraad ko khoraak muhayya karne ki koshish kar raha hai. Unhon ney Yemeni awam ke liye imdaad dainey walay Mulkon bilkhushoos Saudi Arab aur dosray khaleeji Mumalik ke maali taawun ka khusoosi shukriya ada kya. Lowocock ka kahna tha ke Yemen mein imdaadi operation mein darpesh mushkilaat mein aik ahem masla muqami Currency ki qadar mein giravat bhi hai. United Nations Yemeni awam ki maali mushkilaat ke hal ki koshisho mein nakaam hai.