Monday, April 21, 2025
HomeSliderYemen ki madad ke liye online conference, 66 mumulik ki shirkat aur...

Yemen ki madad ke liye online conference, 66 mumulik ki shirkat aur 1.35 Arab Dollars ka taawun

Riyadh: Saudi Arab ki Appeal par Riyadh mein Yemen ke liye online imdadi conference mein 66 mumulik ne shirkat ki hai. Aqwam mutahidda ne elaan kiya hai ke online imdadi conference ke sherka ne 1.35 Arab dollar ke atiyat pesh kiye hain.

Awaan Shahi ke musheer aur Shah Salman markaz baraye imdaad o insani khidmaat ke sarbarah aala Dr. Abdullah Abdulaziz al-Rabeeah ke mutabiq Saudi Arab Yemen ko novel coronavirus se nimatne ke liye 500 million dollar ki madad dey ga. Un mein se 300 million dollar aqwam mutahidda ki tanzeemoun aur Agencies ke tavassut se kharch kiye jayenge. 

Alawa azeen Saudi Arab Yemen ke bijli ghar chalane ke liye mahana 60 million dollar maliyat ka petrol faraham kar raha hai aur Yemen ko baroodi surangoon aur golah barood se pak saaf karne ke liye Masam mansoobah nafiz kar raha hai.

Saudi wazeer kharja ke bamujab Hosiyoun ko jung bandi ki peshkash ki gayi thi jisay unhoun neh qubool nahi kiya. Unhoun neh kaha ke un ka mulk Yemen mein jame hal ke liye aqwam mutahidda ki kawishoun ka sath deta raha hai aur aindah bhi deta rahayga. 

Aqwam mutahidda ke secretary General Antonio Guterres ne conference se iftitahi khitaab mein kaha ke 24 million Yemeni bashindoun ko madad ki ashad zaroorat hai, khud  Yemen ke andar 40 lakh afraad apne shehroun, Qasboun aur bastiyoun se deegar ilaaqoun mein naqal makani kiye huve hain. Aqwam mutahidda ke secretary general ne ye bhi kaha ke ahal Yemen ko aman ki be had zaroorat hai. Unhoun ne conference mein shareek mumulik se Appeal ki ke wo Yemen mein insani bohraan se nimatne ke liye imdaad den.

Aqwam mutahidda ke secretary general ne tavajja dilaye ke Yemen mein 30 feesad se ziyada aqwam mutahidda ke imdadi programme aindah baras band hojaienge,  50% Yemen ko saaf suthra pani muyassar nahi hoga. Coronavirus ki waba ke mahol mein Ambulance aur tanaffus ke alaat ki zabardast qillat ka saamna hai. 

Yemeni wazeer e azam Maeen Abdulmalik Saeed ne conference se khitaab karte huve kaha ke ab Yemenoun ki jung baqa ki jung hai, 2 tahai awam ko madad ki ashad zaroorat hai. Yemeni wazeer e azam ne kaha ke Hosi baghi corona se nimatne ke liye tamam  paishkash thukra chuke hain. Yemen ke liye imdadi conference Saudi Arab ne aqwam mutahidda ke taawun se talabb ki hai. Ye is baat ka saboot hai ke Saudi Arab, Yemeni bhaiyoun ko insani bohraan se nijaat dilane ke liye par azam hai. –YTN STAFF