Saturday, May 4, 2024
HomeTrending NewsYemen ke bachay ka chashma 10 hazaar Dollar mein farokht

Yemen ke bachay ka chashma 10 hazaar Dollar mein farokht

Sana: Yemen ke ek panah Guzeen Camp ke bachay ne dhaati hanger se chashmay banaye hain taakay inhen farokht kar ke Eid par apne ghar waloun ke liye kapray khareed sakay. Yemeni panah Guzeen camp ke bachay ke is iqdaam ne nah sirf Yemeni media balkay bain ul aqwami aur insani haqooq ke groupoun ko bhi apni janib mutwajjah karliya.

Tafseelaat ke mutabiq jab Yemeni sahafi Abdulah Al Jardi ku is bachay ki takhleeqi salahiyat ke baare mein maloom huwa to unhoun is bachay ke chashmay farokht karne ke liye ek online nilami ka intizam kiya. Social Media par Yemeni sahafi ki kawishoun ko bain ul aqwami Khairati idaroun ne bhi saraha. Yemen mein Saudi Project for Landmine Clearance ( Masam ) ke director Oussama al-Gosaibi ne chashmoun ki kamyaab boli lagai.

Oussama al-Gosaibi ne kaha ke chashmo ki nilami se 10 hazaar Americi dollars haasil huve hain. Is raqam se nah sirf chashma bananay walay bachay ke liye kapray khareeday jayen ge balkay panah Guzeen camp mein rehne walay deegar bachoun ku bi kapray diye jayenge. Unhoun ne mazeed kaha ke ye Yemen mein insani haqooq ke liye Saudi Arab ki jaaane wali koshisho ka hissa hai.

Is iqdaam ka maqsad insani bhalai ki koshishoun ku aur himayat ko farogh dena hai ta-ke zaroriat zindagi ko poora kiya jaye aue Eid ke qareeb atay hi Yemeni awam khasosan bachoun ke josh-o-khoshi mein izafah karna hai. KING SALMAN HUMANITARIAN AID AND RELIEF CENTRE ka project hai.  Oussama al-Gosaibi ne kaha ke boli laganay se pehlay un ki team ne in chashmoun ki nelamee ki tahaqeeq ki aur is baat ko yakeeni banaya ke aaya ye sahih aur qanooni hai ke nahi.

Sahafi Al Jaradi ne kaha hai ke Masam ke numainday imdaad ki taqseem ko shafaaf banayen. Gosaibi ne Yemen mein daidh saal guzaray hain, Un ke mutabiq Yemen mein soorat e haal bohat mushkil hai. Wo baaghi hoasiyoun ki karwai ki wajah se yemeni awam ki aankhoun mein dukh aur takleef ko dekh satke hain. –YTN STAFF