Wednesday, April 24, 2024
HomeIndiaYe budget mulk ko farokht karne ka budget: Sanjay singh

Ye budget mulk ko farokht karne ka budget: Sanjay singh

New Delhi: Markazi hukoomat ki janib se paish kardah aaj ke budget par tanqeed karte hue aam aadmi party ke rehnuma aur Rajya sabha rukan Sanjay singh ne kaha ke parliment mein paish kiya gaya aam budget 22-2021 ko mulk ko bechnay wala budget hai.

Singh ne budget ki tanqeed karte hue Tweet kiya ke aakhir yeh mulk kiska hai? 130 crore logon ko ya modi jee ke 4 sanat car doston ka? Aaj ka budget mulk ko baichnay ka budget hai. Wazeh rahay ke markazi wazeer khazana Nirmila Sitharaman ne aaj parliment mein maali saal 2021 ka budget paish kiya hai aur isi ke tanazur mein singh ne yeh rad-e-amal zahir kiya hai.

Doosri janib Wazeer-e-Azam Narendra Modi ne budget par izhaar-e-khayaal karte hue kaha hai ke 2021-22 ka budget gaon aur kisanon ko awliyat mein rakh kar banaya gaya hai.

Parliment mein paish kardah budget par apne rad-e-amal ka izhaar karte hue Narendra moodi ne kaha ke yeh ek ghair mamooli sorat-e-haal mein paish kiya gaya budget hai jis mein taraqqi ka etemaad bhi mojood hai. Hum ne taraqqi ke naye mawaqay talaash karne, nojawanon ke liye naye imkanaat peda karne, insani wasail ko nai bulandiyon par le jane, naye shobo mein bunyadi dhanchon ki taraqqi, technology ko apnane aur nayi aslahat lane ki koshish ki hai.

Wazeer-e-Azam Modi ne kaha ke budget mein zaraat ke shoba par zor diya gaya hai aur is se kisanon ke etemaad mein izafah hoga. Yeh budget awam, sarmaya karon, sanat aur bunyadi dhanchay ke shobay mein bohat si misbet tabdeelian laayega. Is se awam ki taraqqi hogi aur tamam shobo mein taraqqi dekhnay ko mileygi.