Tuesday, May 7, 2024
HomeHyderabadYaum e Ashora, tareekhi Bibi ka Alam ka juloos

Yaum e Ashora, tareekhi Bibi ka Alam ka juloos

Hyderabad. Islam mein Yaum e Ashora ki badi ahmiyat o ifadiyat hai. Isi din kayi anbiya-e karaam par Rabb e kaayenaat ka fazl wa karam huwa hai. Mohram ki 10 tareekh ko Yaum e Ashora ki munasibat se Sunni hazraat roza rakhtay hain jabkay ahal e tashayo wo tafzilee hazraat nawasa e Rasool sale Allah alaihi wasallam hazrat Syedna Hussain ibn Ali aur un ke khanwadah aur Ansar ki shahadat ka maatam karte hain. Isi munasibat se agarchay shaher ke mukhtalif muqamat par shiyayee aqayed ke mutabiq Alam aur Taziye nikalay jatay hain taham puranay shaher mein markazi maatami juloos nikala jata hai. Sadiiyon se chali aa rahi riwayaat ke mutabiq iss markazi maatami juloos ka markaz e nigah ”Bibi ka Alam” hota hai jo haathi par baraamad hota hai. Yeh Alam din mein Dabirpura mein waqay Alawa Bibi se baraamad hota hai aur mukhtalif aashorkhaanoon se guzarta huwa barah Charminar, Chadarghat par ekhtataam pazeer hota hai. Yeh Bibi ka Alawa pahelay Qutub Shahi daur mein Qila Golconda mein waqay tha jisay baad azan Asif Jahi daur e hukoomat mein maujooda muqam par muntaqil kardiya gaya hai. Iss Alam ke baaray mein yeh kaha jata hai ke iss Alam mein lakdi ka aik tukda hai jis ke baaray mein yeh daawa kya jata hai ke woh Khatoon e Jannat, Batool e Rasool sale Allahu alaihi wasallam hazrat Bibi Fatima ko ghusal maiyat diya gaya tha. Iss Alam ko kayi Shahoon ney qeemti nazraane paish kiye hain. Nasir ud Dowla ney heere Nazar kiye they. Nizaam haftum Mir Osman Ali Khan Bahadur ney apni waalida mohtrama ki yaad mein iss Alam ko 6 Adad qeemti heere aur jawahraat nazar kiye thae. Agarchay yeh Alam ahal e tashayyo ki janib se unhi ki riwayaat ke mutabiq nikala jata hai magar is ke mutwalli aik Sunni hain.
Iss markazi maatami juloos ke hamrah ahal tashayyo nange paiir chaltay hue shuhda e Karbala se apni aqeedat ka izhaar karte hain. Maatami giroh juloos ke sath sath chaltay hue noha padhte hain jabkay azaa daaron ki toliyan neem barhena hokar zanjeeri wo khooni maatam karte hue apne jism ko gazind pahonchate hue shuhda e Karba e ahal Baiyt athaar se apni waraaftgi wo aqeedat ka izhaar karte hain. Juloos ke Charminar par pahonchanay par Deputy Commissioner of police South Zone Police Mr. M. V. Satyanarayana ney dhatti chadhai. Shaher mein aaj ke din ki munasibat se jagah jagah sabilein lagai gayi theen aur logon mein sharbat taqseem kya gaya. Kayi Masajid mein waqea Karbalaa par khusoosi programmes ka ehtimaam karte hue falsafah e shahadat ko paish kya gaya hai. Yaum e Ashora ki fazeelat ki munasbat se aaj nafil roza bhi rakha gaya. Mahkuma Police ki janib se naqayis se pak bandobast kya tha jabke GHMC aur Water Board ki janib se bhi julusion ki sahoolat ke liye khusoosi intizamaa kiye gaye thae. Maatam karne walon ki marham patti ke liye mukhtalif Hospitals ki janib se Medical Team tainaat ki gayi theen.