Sunday, April 20, 2025
HomeHyderabadYateem khaanoun aur hostels mein CCTV camera laazmi qarar

Yateem khaanoun aur hostels mein CCTV camera laazmi qarar

Hyderabad: Riyasat bhar mein khangi hostels aur yateem khaanoun ki nigrani ko sakht karne ki gharz CCTV camera ki tanseeb ko laazmi kardiya gaya hai taakay un ahatay mein aanay waloun par mustaqil nigrani rakhi jasakay. Is iqdaam ka maqsad hostel aur yateem khanaay mein 24 ghanton ki nigrani mein behtari lana hai. CCTV cameron ko laazmi qarar dainay ka faisla mehakma khawateen taraqqi aur bachon ki behbood ne 4 mah qabal shehar ke nawahi ilaqay ameeenpur ke yateem khanaay mein ek 14 sala ladki ki mout ke tanazur mein liya gaya hai.

Yateem khanaay aur hostels mein muqeem afraad ki hifazat ko yakeeni bananay ke liye mehakma mukhtalif ahteyati tadabeer ikhtiyar kar raha hai. hostels aur yateem khaanoon ke intizamia ko show case notices jari kiye gaye thay jin mein reyasti hukoomat ke muqarrar kardah usoolon par amal karne ke liye kaha gaya tha.

Reyasti hukoomat ke zair-e-intizam gharon mein pehlay hi nigrani camera nasb kiye gaye thay jabkay yahan muqeem afraad ko fraham ki jane wali sahuliyaat ke alawa khangi hostels aur yateem khanaay mein security nizaam ki heian kayi  commissionaire d Daivia ne kaha hum is waqt yeh jan-nay ke liye action taken reports (ATR) akhatta kar rahay hain. ATR ki jaanch padtaal ke baad mehkama zaroori karwai karega.

DWDRSW child welfare system aminpura ke yateem khanaay ke waqeye ke baad mehkama ne district child welfare cometion (DCWDC) samait poooray nizaam ko mazboot bananay ke liye mukhtalif iqdamaat shuru kardiye hain.

Mehakma se mutaliqa ohdedaron ko hidayat jari ki gayeen ke Hyderabad aur iske aas paas ke tamam khawateen aur bachon ki dekh bhaal karne walay idaron ka muaina karen aur unki karwaiyon se mutaliq tafseeli report paish. Riyasat mein har yateem khanaay aur hostel mein shikayaat ke liye 1098 dabon ki farahmi ke liye zaroori iqdamaat kiye gaye.

DCWC ki madad se yateem khaanoon ke kaam ki baqaidagi se nighdasht ki jarahi hai.