Friday, March 29, 2024
HomeHyderabadYakam July se telangana ke baaz maqamat par barish ki paish qiyaasi

Yakam July se telangana ke baaz maqamat par barish ki paish qiyaasi

Sheher Hyderabad mein itwaar ki Alasubha se barish ka aik silsila shuru hochka hai aur waqfa waqfa se barish horahee hai jis ki wajah se nah sirf shehar mein balkay riyasat telangan mein bhi aabi zakhair mein aabi satah mein izafah hua hai. junoob maghrib manson ki jald aamad ke nateeja mein abkir ilaqon mein hui barish ke sabab dareaye Krishna ke ahem aab paashi projects ki aabi satah mein izafah hua hai.jorala, sri silm reservoir mein bala tarteeb 25, 344 aur 21, 146 quzik pani ka bhav darj kiya gaya jis se kisanon ko baghair kisi mushkil ke beej bonay mein sahoolat horahee hai. Karnatak me hue shaded barish k sabab jorala project me 344,25 quzik pani ka bahav dajr kiya gaya iski muqamil satey aab 1045 feet k barkhilaf iski sattey abb 1.041,24ft darj kigayi hai.

parosi riyasat Andhra Pradesh ke Kurnool zila mein waqay Sunke Sela Reservoir aur telangana ke zila mehboob nagar ke jurallah project mein pani ka shadeed bhav Godavari tas mein kandam, lower manir dam, sangur sri padam pally aur sri raam sager project mein bhi pani ke bhav mein izafah darj kiya jarha hai. ohdedaron ne kaha hai ke aindah chand hafton ke douran mazeed barish ki tawaqqa hai jis ke sabab yeh tamam projects labraiz ho jaien ge. amuman monsoon ki telangana mein aamad June ke dosray hafta mein hoti hai taham is martaba June ke pehlay hafta mein hi is ki aamad hogyi, jiske nateja me ausad barish hue aur kai projects ki satey me bartark izafa hota jaraha hai. Mehkume abepashi k ohdedaron ne ye baat batayi.

shumali sahiliandhra Pradesh , yanim aur janoobi sahili andrah Pradesh me mein yakam July ko aik ya do maqamat par barish ka imkaan hai. mehakma mosmiyat nay yeh baat batayi. –apne bulten mein is nay kaha ke telanagana mein yakam July ko baaz maqamat par barish ka imkaan hai. aindah paanch dinon ke dourantelanaga , shumali sahili andhra, yanim aur janoobi sahili andrha Pradesh ke sath sath royal Seema mein barish kaamkan hai. junoob maghrib monsoon telangana mein kamzor hogaya hai. guzashta 24 ghanton ke douran kamareddy zila ke baaz maqamat per barish hui.