Tuesday, May 7, 2024
HomeIndiaWukla ke khilaaf Delhi police ka muzahira

Wukla ke khilaaf Delhi police ka muzahira

New Delhi : Hindustan ke Dar-ul-hukumat Delhi mein nazam wo nasq barqarar rakhnay aur din raat awam ki hifazat mein mamoor police ohdedaron ney insaaf aur apni hifazat ko yakheeni bananay ki maang ka mutalba karte hue police headquarters ke samnay muzahira kiya.

Delhi ke Tis Hazari court ke bahar guzashta hafta police aur wakla ke darmiyan pur-tashaddud jhadap ke maamla ney aaj ek naya modh ikhtiyar karliya jab siyah patti bandhay police ohdedaron ney muzahira mein shirkat ki. yahan ki tamam adalaton ke wakeel peer ko is waqea ke khilaaf ehtijaj wo muzahira kar rahay they wahein aaj Delhi police headquarters ke bahar police ohdedaron ney ehtijaj aur muzahira kiya.

Badi tadaad mein Delhi police ke jawan siyah patti bandh kar head quarter ke bahar akhatta hue aur apne liye insaaf ka mutalba kar rahay they. Unka mutalba hai ke woh bhi wardi ke peechay ek Insaan hain, unka bhi khandan hai. unke masaaib koi kyun nahi samjhta?

Muzahira kar rahay police jawano ney kaha hai ke unke sath zayad-ti horahi hai. unhon ney kaha ke hum pur aman tareeqay se ehtijaj wo muzahira karkay police commissionaire ke samnay apni baat rakhenge. muzahira kar rahay police ohdedaron ney kaha hai ke inhen wardi pahannay mein dar lag raha hai kyunkay wardi dekhte hi wakeel police jawano ko peet rahay hain.

Qabil-e-ghhor hai ke parking ke silsila mein honay walay mamooli tanaza ke baad haftay ke roz dopehar ko Tis Hazari adalat ke ihatay mein wukla aur police ke darmiyan jhadap mein 21 police ohdedar aur 8 wakeel zakhmi hogaye they jabkay 17 gadiyon mein todh phodh ki gayi thi. taham wukla ney daawa kiya tha ke police ney jo adaad wo shumaar bataye hain is se ziyada tadaad mein unke saathi zakhmi hue hain.

Delhi mein wukla ki janib se ek din adalat ke boycott ke darmiyan peer ko Supreme Court ke wakeel nay bhi Tis Hazari court mein honay wali pur-tashaddud jhadpon ke khilaaf Supreme Court ke bahar muzahira kiya aur wukla ke sath izhaar-e-yakjahti ka izhaar kiya. Supreme Court ke wakeel nay hafta ke waqea mein zakhmi wakla ko fee kas 10 laakh rupay dainay aur police ohdedaron ke khilaaf sakht karwai ka mutalba kiya hai.

Delhi police commissionaire ney police headquarters ke bahar muzahira kar ney walay police ohdedaron ko insaaf ka bharosa dilatey hue kaam par wapas anay ki appeal ki hai.

Unhoun ney police ohdedaron se kaha ke yeh waqt Delhi police ke liye imthehaan ki ghadi hai aur police walon ki saari shikaytein door ki jayengi. Delhi police ke liye yeh imthehaan, tawaqqa aur intezaar ka waqt hai. hukoomat aur Delhi ko awam ko police walon se kaafi tawaqqa rehti hai kyunkay hum qanoon ke rakhawalay hain. intezaar ki ghadi hai kyunkay Tis Hazari adalat ke ahatay mein jo waqea hua hai is mein high court ki janib se adalti tehqiqaat ka hukum diya gaya hai. unhon ney kaha ke inhen umeed hai ke tehqiqaat mein insaaf mileyga aur intezaar karne ki zaroorat hai.

Police commissionaire ney police ohdedaron ke samajhate hue kaha ke aap ke zehen mein jo khadsha hai usay hum samajh rahay hain. hum qanoon ke rakhawalay hain aur awam ko hum se umeed hai aur hamara bartao bhi isi tarhan ka hona chahiye. unhon ney police ohdedaron ki tamam shikayaat door karne ka bhi yaqeen dilaya. –YTN STAFF