Monday, April 29, 2024
HomeIndiaWuhan se 112 Hindustani musafiroun ka tayyarah Delhi pouncha

Wuhan se 112 Hindustani musafiroun ka tayyarah Delhi pouncha

New Delhi: Coronavirus ka saamna kar rahay China ke shehar Wuhan se 32 ghair mulki shehrioun sameit 112 hindustani shehrioun ko le kar Air Force tayyarah Dehli pouncha. Hukoomat ne khofnaak waba se pareshan China ke logoun ki madad ke liye 15 tan tibbi aur imdadi samaan le kar hindustani fazaiya tayyara C17 ko guzashta shaam Wuhan rawana tha aur ye tayyarah aaj majmoi tor par 112 musafiroun ko le kar Delhi ke Indra Gandhi Airport pouncha.

Qabil zikar hai ke wazeer e azam Narendra Modi ne 8 Feb ko China ke sadar Xi Jinping ko khat likh kar Coronavirus se nimatnay ki koshisho mein yakjahti ka izhaar kiya tha aur China ki zaroratoun ke mutabiq Hindustan ki janib se har mumkin madad ki pesh kash ki thi. Tibbi samaan ki farahmi se China ko is waba ke phelou ku roknay mein madad miley gi jisay aalmi idaara sahet ki taraf se aalmi sahet Emergency qarar diya gaya hai.

Wizarat khareja ke mutabiq Hindustan aur China ke darmiyan sefarti taluqaat ke qiyam ki 70 we saalgirah ke mauqa par ye madad China ke logoun ke Hindustan ke logoun se dosti aur yakjahti ki alamat hai.

Is tayyarah ke zareya Wuhan mein Hindustani sifarat khanaay ke 3 ohdedaroun sameit 76 Hindustanyoun aur 36 beroun mulk shehrioun ko yahan laya gaya hai. Un tamam ghair mulki shehrioun ko hukoomat ki padosi mumalik ko ahmiyat dainay wali Policy ke tehat yahan laya gaya hai. Un mein Bangladesh ke 23, China ke 6, Myanmar aur Maldives ke do, do aur America aur janoobi Africa ka ek ek shehri shaamil hai.

Wuhan mein phansay Hindustanyoun ko nikaalne ke liye hukoomat ki taraf se bhaije gayi ye teesri parwaaz thi. Is se pehlay 2 parwazein 31 January aur yakam Feb ko huvi thi jin mein 723 Hindustanyoun aur 43 ghair mulki shehrioun ko laya gaya tha.

China mein is mohlik virus se ab tak 2715 afraad halaak ho chuke hain, Jabkay 78000 afraad ab bhi se usay mutasir hain. Wahein 29700 logoun ke ilaaj ke baad dawakhanoun se chhutti di ja chuki hai. Mojooda waqt mein ye virus duniya ke 37 mumalik mein phail chuka hai. –YTN STAFF