Wednesday, May 8, 2024
HomeLatest NewsWorld Cup se qabal Hindustani Cricket Team ke masail ujagar

World Cup se qabal Hindustani Cricket Team ke masail ujagar

Hyderabad:  Australia ke khilaaf hindustan ko paanch muqablon ki one day Series mein ibtedayi do muqablon mein kamyabi ke bawajood 3-2 ki shikast bardasht karni padi jo kay England mein khele janey walay World Cup se qabal khitaab ki daawedaar tasawwur ki janey wali do martaba ki sabiq Hindustani Team ke liye kayi sawalaat khadey kardiye hain.

Australia ki mezbani se qabal Hindustani Team ney mehman team ko usi ki sarzamen par pehli martaba test aur oneday mein shikast dene ke baad Twenty 20 series barabari par khatam ki thi aur yeh pehla mauqa tha ke Hindustani Team doura Australia par koi bhi series gawaye baghair futuhat ke sath watan lauti thi lekin achanak hi Australia ke khilaaf kheli gayi home series jis mein Twenty 20 mein 2-0 ki shikast aur phir oneday mein 10 saal baad Australia ke khilaaf nakami ney un ke World Cup ki tayari par kayi ek sawalia nishaan laga diye hain.

Hindustani Team ke liye is waqt sab se phela sawal teesra opener koun hoga jabkay naaqis form ke bawajood Shekhar Dhawan ko World Cup mein bhi innings ke aaghaz ka mauqa diya jaye ga ya nahi?

Dosra sawal yeh hai ke M.S Dhoni ki maujudgi mein Aalmi event ke liye doosra Wicket Keeper koun hoga? Kyun ke Australia ke khilaaf aakhri do muqabloun mein Rishabh Pant ko mauqa diya gaya jo wicketoun ke peechay gloves  se aur wicketoun ke samnay bat se nakaam rahay.

Ek aur sawal chouthay maqam par kounsa khiladi batting kare ga yeh bhi hindustan ke liye ahem sawal hai halaanke haliya dinoun mein Ambati Rayudu ko is maqam ke liye qatee batsman qarar diya ja raha tha lekin woh bhi batadreej nakaam ho rahay hain.

Ravindra Jadeja ke mutaliq bhi yeh sawal maujood hai ke kiya Senior All Rounder ney aisa muzahira kardiya hai jis se World Cup Team mein un ki shamoliat hogi. World Cup mein hindustan ke liye ye mauqa to zaroor rahay ga kyunkay muqablay ravind robin ke hai lehaza woh apni khamioun par qaboo panay ki koshish kareinge lekin, Semi Finals mein rasai is ke liye mushkil hojaye gi kyunkay Australia ke khilaaf home series mein hadd se ziyada tajrubaat ney nah sirf team ke tawazun ko bigaad diya hai balkay team mein mustaqil shamoliat ke Adam itminan ney khiladioun ke housloun ko bhi pusht kardiya hai. Shekhar Dhawan, kedar jadhav  aur Vijay Shankar ke behtar muzahiroun mein istiqlal ka fuqdaan raha aur team mein unki shamoliat ki ghiriqini ney bhi un ke housloun ko kahin nah kahin nuqsaan pohanchaya hai .

Bowling shoba mein duniya ke number aik Bowler Jasprith Bumrah  ke muzahiroun ney bhi mayoos kiya hai aur woh haliya series mein hindustan ke liye dusray kamyaab bowler saabit huwe hain jabkay Kuldeep Yadav ney series mein bhale hi sab se ziyada 10 wicktene li hain lekin woh kaafi mehangay saabit huwe hain.

Australia ney jis etemad aur jarehana andaaz mein kuldep ka saamna kiya hai woh bhi hindustan ke liye tashweesh ka baais hai kyunkay Kuldeep aur yuzi chahal ki jodi ko world cup ke liye hindustani kamyabi ka kuleed tasawwur kiya ja raha tha lekin Australia ke khilaaf un ki nakami Hindustani team ki World Cup tayariou ko nuqsaan pohanchaya hai.

Number 4 par ambati rayudu jinhoun ney Australia aur New Zealand ke doroun par shandaar muzahirey kiye they woh Australia ke khilaaf home series mein is ka tasalsul barqarar nahi rakh paye lehaza ab number 4 par rayudu ya teesre opener Rahul ke intekhab ka masla  paida hogaya hai. 20 April se qabal World Cup ke liye Hindustani Team ke elaan ke baad hi un sawalaat ka sahih jawabaat mil payenge.

 

 

 (YTHISNEWS STAFF)