Tuesday, May 7, 2024
HomeLatest NewsWorld Cup mein Hind-Pak muqablay ki 25 hazaar ticketoun ke liye 4...

World Cup mein Hind-Pak muqablay ki 25 hazaar ticketoun ke liye 4 laakh se ziyada darkhwastein

London : Worldcup Cricket 2019 ke liye ticketoun  ki farokht 21 March ko shuru honay wali hai lekin aaghaz se qabal hi Hind-Pak muqablay ki ticketoun  ki maang aasman se batein kar rahi hai, is martaba cricket ka yeh event England mein khela jaye ga.

England mein stadium chotay hain is liye ticketoun  ko le kar mara maari honay wali hai. khaas kar hind-pak match ke liye to ticketoun  ki zabardast maang hai.

Hind-pak ke darmiyan16June ko muqaabla Manchester ke maidan par khela jana hai. yahan stadium mein sirf 25 hazaar logon ke baithnay ki gunjaish hai lekin ICC ke paas chaar laakh se zayed logoun ne ticket ke liye darkhwasten di hain. khaas baat yeh hai ke final se bhi ziyada log is match ko daykhna chahtay hain. worldcup mein farokht ke liye 8 laakh ticket rakhay gaye hain lekin is ke liye 30 laakh se ziyada dawaydaar hain. yani ziyada tar madahon ko is martaba mayoosi hi haath lagey gi.

ICC ke mutabiq, Website par pehlay aao pehlay paao ki bunyaad par ticket diye jayenge, ticket kharidne ke mustahiq sirf woh log honge jinhoun ne ticket ke liye pehlay darkhwasten di hain. world cup mein 10 Teams maidan mein hain aur har kisi ko ek dosray ke khilaaf match khelna hai .Teamoun ka moujooda form kab kis ko hairan kardey ga iski koi zamanat nahi, yani koi bhi team is martaba champion ban sakti hai.

International cricket council ( ICC) ke cheif executive : David Richardson‎ ne Hindustan aur Pakistan ke worldcup match ke mutaliq kaha ke Hindustan aur Pakistan muqaabla par koi khatrah nahi hai aur yeh programme ke mutabiq hoga. Richardson ne kaha ke dono hi Teams ICC ke sath khailnay par paband ehad hain aur un dono ke darmiyan16 June ko Manchester mein honay wala muqaabla tey shuda waqt par hoga.

Pulwama mein 14feb ko hue dehshath gardh hamla mein Hindustan ke 40 CRPF jawan shaheed hue they, jis ke baad Hindustan ne Pakistan ke sath kisi bhi satah par cricket rishta nahi rakhnay ki baat kahi thi aur tabhi se is muqaabla par khatrah mandala raha tha. Pulwama ke baad ICC ko khat likh kar Pakistan ke sath match nahi khailnay aur baqi mulkoun ke zareya bhi Pakistan ka boycott karne ki appeal ki gayi thi, is par Richardson ne kaha sabhi shiraakat daar Teams ne ek samjhota par dastakhat kiye hain aur is wajah se world cup ke har match mein inhen khelna hoga. Agar koyi team match khailnay se mana karti hai to phir is match ka poooray points doosri team ko diye jayenge .