Friday, May 17, 2024
HomeSliderWorld Cup Ke Liye Hindustani 15 Rukni Team Ka Elaan, Pant...

World Cup Ke Liye Hindustani 15 Rukni Team Ka Elaan, Pant Bahar Dinesh Karthik Ko Mauqa

Mumbai : Aindah mah England mein khailay jaany walay world cup  ke liye hindustani 15 rukni team ka elaan kardiya gaya hai jis ki qayadat Virat   kohli kar rahay hain. world cup  ke liye hindustani team ke intikhab ke zimn mein guzashta kayi mah se chand ek pehloo par mahireen aur awaami satah par behas horahee thi jis mein sab se ziyada behas ka mauzo number chaar par kis khiladi  ka intikhab hoga yeh sawal sab se ahem tha lekin team mein bhi kisi khaas batsman ko is number ke liye mukhtas nahi kiya gaya.

15 rukni team mein jahan Dinesh Karthik  nojawan wicket keeper batsman Rishabh Pant  ko shikast dainay mein kamyaab rahay wahein Ambati Rayudu jinhon ney Australia aur Newzealand ke khilaaf number chaar par hindustani team ki numaindagi ki thi woh bhi team mein jagah nahi bana paye halaank yeh gumaan quwwat tha ke number chaar par batting ke liye Ambati Rayudu ko pehli pasand ke tor par team mein shaamil kiya jayega.

15 rukni team mein Rohit sharma aur Shikhar Dhawan ko bahasiat opener shaamil kiya gaya hai jabkay KL Rahul jin ka haliya muzahira mayoos kin raha lekin IPL mein unhon ney century score ki aur chand ek behtareen innings kheli hain jis ki wajah se inhen mehfooz opener ke tor par shaamil kiya gaya hai. MS Dhoni wicket keeping ke liye pehli pasand hain jabkay Dinesh Karthik  mehfooz wicket keeper ke tor par team mein shaamil kiye gaye hain. England ki wicketon aur mousmi halaat ke aitbaar se MS ke prasad ki qayadat mein yahan munaqidah Selectors ke ijlaas mein mutawazan team muntakhib karne ki koshish ki gayi hai jis ke liye fast bowling shoba mein ek izafi bowler aur span shoba mein bhi ek zayed spinner ko khilanay ka faisla kiya gaya hai .

Fast bowling shoba mein Bhuvneshwar kumar aur Jasprit Bumrah ke sath Mohammad Shami ko mauqa diya gaya hai jo ke izafi fast bowler honge. isi tarha spin shoba mein Kuldeep Yadav aur yuzvendra chahal ke sath Ravinder Jadeja ko mauqa diya gaya hai. all rounder shoba mein Hardik Pandya pehli pasand saabit hue jin ke sath Vijay Shankar jinhon ney Australia ke khilaaf haliya munaqidah ODI series mein unhon ney khaas kar asaab shikan lamhaat mein shandaar bowling karte hue team ki kamyabi mein ahem rule ada kiya tha aur Shankar ko batting, bowling aur fielding teeno shobo mein behtari ki wajah se team ka hissa banaya gaya hai.

Middle order mein Kedar Jadav bhi jagah bananay mein kamyaab hue hain. team ke elaan se qabal Pant aur Karthik  ke intikhab aur number 4 par batting ke liye mozoon batsman ka mauzo sab se ahem tha jahan 33 sala Karthik  ney nojawan 21 sala pnt ko shikast di halaank dorae England ke mauqa par Pant ney England ke khilaaf behtar muzahira kiya tha lekin haliya dinon mein un ke muzahiron mein Adam istiqlal raha jis ki wajah se woh selectors ka etemaad haasil karne mein nakaam rahay .

world cup  ke liye Indian Cricket team in khiladion par mushtamil hai
Virat  kohli ( captain ), Shikhar Dhawan, Rohit sharma ( vice captain ), KL Rahul , MS Dhoni ( wicket keeper ), Kedar Jadhav , Hardik Pandya , Vijay Shankar , Kuldeep Yadav, Yuzvendra Chahal, Mohammed Shami , Jasprit Bumrah, Bhuvneshwar kumar, Dinesh Karthik  aur Ravinder Jadeja .- YTN STAFF