Monday, April 21, 2025
HomeSportsWorld Cup 2011 ke Fixed honay ki tehqiqaat ka aaghaz

World Cup 2011 ke Fixed honay ki tehqiqaat ka aaghaz

Dubai: Sri Lanka ney 2011 ke Cricket World Cup ka final Hindustan ko farokht kiye janey ke ilzamaat ki tehqiqaat ka hukum diya hai. Sri Lanka ke wazeer khail ke secretary Rawan Chandar ney kaha hai ke is muamlay ki Criminal tehqiqaat shuru kar di gayi hain. Un ke mutabiq ye tehqiqaat khail se mutaliqa juraim ki tehqiqaat ke liye qaim police ka ek azadana special unit kar raha hai. Rawan mah Sri Lanka ke sports ke sabiq wazeer Mahindananda Aluthgamage ney inkishaf kiya tha ke Sri Lanka ney 2011 ka World Cup Hindustan ko farokht kiya tha.

Mahindananda Aluthgamage jo is waqt Sri Lanka ke sports ke wazeer they, Aisi doosri ahem shaksiyat hain jinhoun ne World Cup final ke fixed honay ka ilzaam lagaya. Un se qabal sabiq Sri Lanka captain Arjuna Ranatunga ne bhi kaha tha ke 2011 ke World Cup ka final match fixed huwa tha. Unhoun ne is hawalay se tehqiqaat ka bhi mutalba kiya tha.

Muqami media ki Reports ke mutabiq Sri Lanka ke sabiq captain aur 2011 mein team ke Chief Selector آ  Aravinda de Silva ko tafteesh karoun ne Interview ke liye talabb kiya hai. Mumbai ke One Day Stadium mein 2011 ke World Cup ka Final match Srilanka 6 Wickets se haar gaya tha jabkay Hindustan faateh qarar paaya tha. Hindustani khiladi kisi bhi qisam ke ghair qanooni kaam mein mulawis honay ki tardeed karte rahay hain.

Sri Lanka ne pehlay Batting karte huve 50 overs mein 6 Wickets ke nuqsaan par 274 runs banaye they. Sri Lankan team is waqt mazboot muaqqaf mein thi jab Sachin  Tendulkar 18 runs bana kar out ho gaye. Lekin Hindustan ne achanak match ka pansa palta aur Sri Lanka naaqis fielding aur kamzor bowling ki wajah se match haar gaya. Sabiq wazeer khail ke ilzamaat ke jawab mein maaya naz Sri lankan khiladi aur 2011 mein team ke captain Kumar Sangakkara ne kaha tha ke Aluthgamage apne ilzamaat International Cricket Council ki aalmi governing body ke sath bantain.