Colombo: Hindustan mein 2011 ke One World Cup final ke Fixed hune ke hawala se koi saboot nahi mila, Is terhan Sri Lanka ke is waqt ke wazeer khail Mahindananda Aluthgamage ke fixing ke ilzamaat be bunyaad saabit huve. Final mein Sri Lanka ko shikast day kar Hindustan ney ye aizaz haasil kiya tha.
World Cup Final fixed karne ke ilzamaat ki tehqiqaat mukammal hochuki hain aur khiladioun ko clean chit day di gayi hai. Khusoosi tehqiqati team ke sarbarah Jagath Fonseka ne ye ittila di hai. Tafteeshi team ne World Cup ke waqt captain Kumar Sangakkara, Naib captain Mahela Jayawardene phir selection committee ke chairman Aravinda de Silva aur opener Upul Tharanga se fixing ke ilzamaat par pooch taach ki.
Fonseka ney kaha ke ab tak tenu cricketers ko pooch taach ke liye bulaya gaya hai aur un ke bayan ney sachaai zahir kar di hai ke final mein Playing Eleven ko tabdeel karne ki wajah kiya hai. Unhoun ney kaha ke wo apni tehqiqati report wizarat khail ke secretary ko bhejen ge. Unhoun ney kaha ke khusoosi tafteeshi team ke alla ohdedaroun se mushawarat ke baad tehqiqaat khatam karne ka faisla kiya gaya hai. Unhoun ney ye bhi kaha ke mukhtalif cricketers ko pooch taach ke liye bulaya jana mulk mein bohraan peda karsaktha hai aur ye ek bada masla ban sakta hai.
Fonseka ne kaha ke tenu khiladioun ke bayanaat se ye zahir hota hai ke sabiq wazeer khail Mahindananda Aluthgamage ke 14 ilzamaat ki toseeq karne ka koi saboot nahi tha. International cricket council ICC ne bhi un ilzamaat ka jawab nahi diya. Sabiq wazeer khail Mahindananda Aluthgamage ne guzashta mah ye ilzaam lagaya tha ke Hindustan aur Sri Lanka ke mabain world Cup 2011 ka final fixed tha. Sri Lanka ki wizarat khail ne apne ilzamaat ki mukammal tehqiqaat ka hukum diya.
Aluthgamage ke ilzamaat Sri Lanka eleven mein 2011 ke final mein lag bhag 4 tabdeelian theen. Agarchay ICC ney kaha hai ke usay final ke hawalay se koi shikayat masool nahi huvi hai jabkay Tournament ki Organizing Committee ney ye bhi kaha hai ke usay bud unwani ki koi shikayat masool nahi huvi hai. Wazeer khail Dullas Alahapperuma ney is muamlay ki tehqiqaat ka hukum dete huve tafteesh karoun se kaha hai ke wo har 2 haftoun mein ek baar tehqiqaat mein peshraft ki report pesh karen. Special Investigation police ney guzashta haftay Aluthgamage ka bayan record kiya.
Sri lanka police ney mangal ke roz selection committee ke sabiq chairman Aravinda de Silva se pooch gach ki aur charshumbe ke roz Tharanga se pooch taach ki gayi. De Silva jo World Cup ke waqt selector cheif thay, Un se taqreeban 6 ghantay tak pooch taach ki gayi thi. De Silva ney kaha hai ke wo zaroorat padney par tehqiqaat ke liye Hindustan janay ke liye tayyar hain.
Bayen haath ke batsman Tharanga jo 2011 ke final mein khailay they, Se tafteeshi police ney 2 ghantay tak pooch taach ki. Tharanga ney kaha ke is muamlay mein unhoun ney apna bayan record karwaya hai. Tharanga ney final mein 20 gaindoun mein sirf 2 runs banaye they. Is ke baad Sangakkara aur Mahela se bhi pooch taach ki gayi aur un ilzamaat ke baray mein koi saboot nahi mila.
Aluthgamage jo world Cup 2011 ke douran Sri Lanka ke kheloun ke wazeer they, Ne ilzaam lagaya tha ke wo apne bayan ki poori zimma daari qubool karte hain lekin wo is mein cricketer ko shaamil nahi karen ge. Unhoun ne kaha ke mein apne bayan ki zimma daari laita hon aur mein behas ke liye agay aasakta hon. Awam is se pareshan hain. Mein is mein cricketers ko shaamil nahi karoon ga. Taham kuch group yakeeni tor par fixing mein shaamil they.
Sri Lanka ke 2 sab se tajurbah kaar Batsman Mahela Jayawardene aur Kumar Sangakkara pehlay hi Aluthgamage ke ilzamaat par sawal utha chuke hain. Jayawardene ney Aluthgamage ke ilzamaat par poocha ke intikhabaat ka waqt qareeb aa gaya hai? Jayawardene ney Twitter par likha ke kya intikhabaat qareeb aachukay hain? Aisa lagta hai jaisay circus shuru hochuka hai aur joker samnay arhay hain.
Sangakkara ne kaha tha ke ye ilzamaat bohat sangeen hain aur sabiq wazeer ko ICC ke samnay apne daaway ko saboot ke sath saabit karna chahiye. Sangakkara ne kaha ke inhen apne saboot ICC aur Anti corruption security unit ke samnay rakhnay hon ge taakay un ke davoun ki chhaan bain hosakay.