Tuesday, April 30, 2024
HomeSliderWork From Home ne khandano mein mohabbat badhadi

Work From Home ne khandano mein mohabbat badhadi

Dubai: Coronavirus ke philav ko roknay ke liye pabandioun ke baais work From Home ki badolat Ras Al-Khaimah mein azdawaji ikhtilafat 70 feesad kam hogaye. Ras Al-Khaimah mein khawateen aur bachoun ke idaray panah gaah ki Director Khadija Al-Aajal ne kaha hai ke Work From Home ke douran miyan biwi ke darmain honay walay ikhtilafat mein 70 feesad tak kami dekhnay mein aayi hai.

Tafseelaat ke mutabiq Khadija Al-Aajal ne kaha hai ke miyan aur biwi ke darmain ikhtilafat mein kami ka bada sabab Work From Home bana hai. Mushahiday mein aaya ke beshtar waqt ek sath guzaarne ke baais khandan mein tawazun peda huwa aur ek sath rehne ki wajah se miyan biwi ke darmain hum ahangi aur yaganagt mein izafah huwa hai.

Khadija Al-Aajal ney mazeed kaha ke darasal shohroun ke ghar se baher rehne aur ziyada tar waqt idhar idhar guzaarne ki wajah se ikhtilaaf peda hotay they. Daftari umoor ke gharelu baas zimma daryoun se daur rehtay they. Work From Home ke doran sorat e haal tabdeel hogayi. Shohar beshtar waqt gharoun mein guzarne lagey jis se gharelo umoor mein istehkaam peda huwa aur ikhtilafat ka daira mehdood hogaya.

Work From Home se ek khush-gawar tabdeeli ye huvi ke jin gharanoun mein ikhtilafat huve peda unhoun ne tanazaat ko adalat ya is terhan ke idaroun ke tavassut se hal karne ke bajaye hamaray idaray ke zariye hal karne ka ihtimaam kiya.

Mukhtalif gharanoun se hamein samaji aur zehni masail ki baabat astafsarat masool hotay rahay aur idaray ke mahireen un ki gathyan suljhatay rahay. Curfew ke douran shohar gharoun se nikal satke they aur nah hi bigmat apne Maa Baap ke gharoun ka rukh kar sakti theen. Fariqain ne zameeni haqeeqat ko samajte huve Scientific ektelafaat bunyadoun par hal karne ki koshish ki.