Thursday, April 25, 2024
HomeSliderWork From Home, Kayi afraad ke liye ghar se kaam karna masail...

Work From Home, Kayi afraad ke liye ghar se kaam karna masail ka ambaar

Hyderabad: Lockdown ke foran baad mutadid IT Companies ne apne tamam mulazimeen ke liye Work From Home ka elaan kiya. Is elaan ke baad aisa lagta tha ke kaam karne mein ek bohat acha faisla hai kyunke din mein ghar walon ke sath waqt guzartay hue daftar ki zimma dariyan bhi poori ki ja sakain gi lekin yeh elaan bohat saaray IT mulazimeen ke liye aziat ka soda saabit huwa hai. Sunil Reddy jo ek Multinational Online khorda farosh company ke liye kaam karte hain unhoun ne apne tajarbaat bayan karte hue kaha hai ke jab woh Work From Home ghar se kaam karne lagey to inhen apne liye waqt  mushkil se kabhi bhi mil jata hai.

Ibtida mein hum sab waqai khush thay kyunkay hum ne socha tha ke aakhir-kaar hum apne khandan ke sath kuch waqt guzaraian ge. Taham ab kabhi kabhi mujhe bet ul khola istemaal karne ka waqt nahi milta hai. Hum 10 se 12 ghantay tak musalsal kaam karte hain aur jab hum shikayat karte hain to intizamia ne hamein bataya ke chunkay hum ghar se kaam kar rahay hain lehaza hamein lachak dar hona chahiye aur daftari auqaat ke bar aks kabhi bhi kaam ke liye tayyar rehna hoga. Baaz halaat mein to  haftewaar tateel ke din bhi kaam karna pad raha hai.

Unhoun ne mazeed kaha hai ke mujhe mehsoos hota hai ke jab mein rozana office jata hon to mein kaam se mutaliq tawazun ko behtar tareeqay se barqarar rakh sakta tha lekin ab ghar se kaam karne ke bawajood auqaat ka koi hisaab kitaab nahi bas 24 ghanton ki shift mein kaam karne ka ehsas satanay laga hai.

Ek aur mulazim  Sunil Kumar ne kaha mein 24 ghantay apne khandan ke sath barah-e-naam reh raha hun. Mujhe mushkil se un ke sath khanay ka waqt milta hai hai. Masla sirf kaam aur khangi zindagi ka tawazun nahi hai balkay kayi ek masail ka saamna hai. Bohat se mulazimeen izafi kaam se inkaar karne se khaufzadah hain kyunkay agar inkaar kiya jaye to shayad mulazimat se haath dhona pade ga.

IT Professional Ravesh ne kaha jab mein daftar jata tha aur over time kaam karta tha to mujhe acha muawza mil jata tha taham ab ghar mein is over time aur ziyaad kaam karne ke bawajood muawza nahi milta aur istafsaar par kaha jata hai ke ghar se kaam kar rahay ho jo sahoolat mil rahi hai wohi kaafi hai. Ziyada tar mulazimeen ko khauf hai ke agar woh izafi kaam karne se inkaar karta hai to is ki karkardagi ka jaiza lainay wali Report mein is ki naaqis karkardagi darj hugi jis par ziyada tar taraqqi aur izafi muawza ke faislay hotay hain.