Hyderabad: Congress ke daur mein muslim nojawanoun ki zindaganian barbaad karne ka yeh tareeqa-car tha ke jahan kahin bhi bomb dhamakay hon iske foran baad media mein yeh rail chalaye jane shuru hojati thi ke is dhamaka ke darparda haath falan falan tanzeem ka hai jis ke baad TV screens par chand muslim naamoun ko jali huroof mein dekha jana shuru kardiya jata tha. Iske baad muqami aur deegar reyaston ki police ke janib se dhara dhara muslim nojawanoun ki giraftariyan shuru hojati aur unke khilaaf adalat mein ek muqadma darj karte hue un nojawanoun ko barson jail ki salakhon ke peechay dhkil diya jata aur muqadmaat ek , do ya teen baras nahi balkay dahoun tak chaltay aur phir 15 aur 20 saal baad kayi nojawanoun ko be gunah qarar day kar raha kardiya jata ab aisa hi ek waqea runuma hua hai jahan do diye qabal hue dhamakay mein girftar kiye kiye nojawanoun ko be qasoor qarar dete hue inhen budhape mein riha kiya hai lekin unki be Qasuri saabit karne tak zindagi ke jo ahem saal unhon ne jail mein guzare hai uska hisaab kon deyga?
Rajsthan high court ne 23 saal qadeem Bomb dhamaka maamla mein 6 mulzimin ko riha kar diya hai. yeh faisla adalat ne 23 July ko sunaya aur ab muslim tabqa se talluq rakhnay walay raha sabhi 6 afraad is gham se be haal hain ke unki zindagi ke ahem tareen 23 saal khatam hogaye, is ka azaala kaisay hoga. kisi ki tijarat khatam hogayi, kisi ka taleemi silsila toot gaya, kisi ka career tabah ho gaya to kisi ke qareebi rishta daar hi un 23 barson mein duniya se chalay gaye. Rajsthan high court ne 1996 mein dussa zila ke simleti ilaqa mein hue bomb dhamaka maamla mein jin 6 mulzimin ko be qasoor qaraar diya aur rihayi panay walon mein Raees baig, Javed Khan , lateef Ahmed, Mohammad Ali Bhatt , Mirza nisar hussain aur abdul Ghani hain. un tamam afraad ko dussa ke waqay adalat ne September 2014 mein Umar qaid ki saza sunai thi lekin high court ne is faisla ko badal diya.
Un mulzimin ke wakeel Shahid Hussain ne tafseelaat batatay hue wazeh kiya hai ke bench ne diye gaye faisla mein aitraaf kiya ke fareeq istighasa sabhi 6 logon ke khilaaf ilzaam saabit karne mein nakaam raha. riha kiye gaye nojawanoun mein se Raees baig ka talluq Agrah se hai jab ke paanch deegar log jammu wo Kashmir ke bashindah hain. jab adalat ne unhein raha karne ka faisla sunaya to sath mein hi kaha ke aisa koi saboot mojood nahi jo bomb dhamaka ke ahem mulzim aur phansi ki saza sunaye gaye dr abdul hamid ke sath unka rishta jodta ho.
Adalat ne jab mulzimin ko riha kiya to ek media se unhon ne kaha ke criminal investigation department ( crime branch ) ke zareya muqadma ka mulzim banaye jany se qabal woh ek dosray ko jantay bhi nahi they. Dhamaka mein muqadma banaye jany se qabal Mohammad Ali Bhatt carpet ka kaarobar karte they, Mirza Nisar naveen darjah ke taalib ilm they aur abdul Ghani ek school chillatay they. lateef Ahmed baaja Dehli aur Kathmandu mein kashmiri handicraft farokht kiya karte they. un tamam afraad ki zindagi pichlle 23 saal mein tehass nehass hokar reh gayi hai. Abdul Ghani ne apni aap biti sunaate hue kaha hai mujhe nahi maloom nahi ke is darmiyan duniya mein kya kuch hua. Raees bag apna dard bayan karte hue kaha ke mein ne un 23 saal mein apne kayi rishta daaron ko kho diya hai. meri walida, waalid, do chacha is duniya se guzar gaye hain. mein rihakar diya gaya hon, lekin guzray hue saal mujhe wapas kon karega.
9 win darjah mein rehtay hue mulzim banaye gaye Nisar takleef bharay 23 saal ke guzarnay ke baad ab ek nai shuruvaat karna chahtay hain. unhon ne kaha hai ke mujhe jab mulzim banaya gaya tha to mein 16 saal ka tha, lekin ohdedaron ne mujhe 19 saal ka saabit kiya. ab mein 39 saal ka hon aur shadi karke apni zindagi ko ek nai shuruvaat dena chahta hon. azaadi milnay ke baad kuch apne rishta daaron se phone par baat karne ke liye be chain nazar aa rahay they to kuch jamaat-e-islami hind daftar ke shukar guzar nazar aa rahay they. un tamam afraad ka maanna hai ke unhein be qasoor saabit karwane mein is idaray ka kirdar bohat ahem raha. unki khushee ka andaza isi baat se lagaya ja sakta hai ke jab unhein khana khanay ke liye kaha gaya to unhon ne mana kar diya, kyunkay unhein azaadi mil gayi thi jis ki khushee ne unki bhook ko khatam kar diya.
khushee to unke ahal-e-khanah mein bhi hai lekin sath hi afsos bhi ke jo gunah kiye hi nahi gaye they is ki saza aisi mili jis ne sab kuch tabah kar diya. wazeh rahay ke 22 May 1996 ko Bikaner se agrah ja rahi Rajasthan road ways ki bus mein hue bomb dhamaka mein 14 musafireen ki mout ho gayi thi aur 37 log zakhmi ho gaye they. Bandi koi ki muqami adalat ne abdul hamid ko bomb dhamaka ka ahem mulzim maana tha aur Saleem Nami shakhs ko asleha sarbarah karne ka mulzim maana tha. Abdul hamid ko jahan phansi ki saza sunai gayi hai wahein Saleem ko sazae Umar qaid mili hai. –YTN STAFF