Wednesday, May 8, 2024
HomeSliderWilliamson ka khiladion ko shandaar muzahiron ka silsila jari rakhnay ka mashwara

Williamson ka khiladion ko shandaar muzahiron ka silsila jari rakhnay ka mashwara

New Zealand ke captain Kane Williamson ne apni team se kaha hai ke England ke khilaaf Edgbaston mein honay walay dosray aur aakhri test match mein Lords ki behtar karkardagi ka muzahira karne ke baad inhen aglay haftay mein naye siray se aaghaz karna hoga. New Zealand pehlay test mein shuru se hi ghalib tha kyun ke opener Conway ne test carrier  mein ke aaghaz mein shandaar 200 runs banaye.

Tajurbah car fast bowler Tim Sauthee ne is ke baad  New Zealand ke liye se 6-43 ka muzahira kiya jo is series ke baad rawan mah world test championship ke iftitahi final mein Hindostan ka saamna karen ge. Southee ki shandaar bowling ki badolat  NewZealand ko pehli innings mein 100 runs ki bartari haasil hui thi lekin jummay ke din ka khel barish ki Nazar honay ki wajah se New Zealand aik imkani kamyabi se dur raha warna  New ealand  ki team ko home of cricket yani? Lords  mein 1999 ke baad doosri  kamyabi  haasil  hoti.

Itwaar ke aakhri din test ke aakhri din lunch ke baad  Williamson  nay inning  khatam  karne ka elaan kardiya tha jis ke baad England ko 75 overoun mein 273 runs ka hadaf mila tha. Neil Wegner  nay 2-27 ki shandaar bowling ki lekin England nay 70 overoun mein 170-3 taq rasai haasil  ki aur dinon teamoun nay dara par ittafaq hogaya. pehlay muqablay ke baghair nateeja ke khatam honay ke baad New Zealand ke captain Williamson nay media numaindon se izhaar  khayaal  karte hue kaha ke mein nay socha tha ke sathiyon  nay hamein yeh mumkina kamyabi ka mauqa faraham karne ke liye kuch shandaar cricket Khel hai.

Bad qismati se aaj aisa nahi hona tha kharab mausam se aik din khonay se is ka faida nahi milta tha. unhon ne mazeed  kaha hum  ne aik wajah ke liye inning draw  karne ka elaan kya tha aur woh fatah ke liye koshish karna aur is par zor dena chahtay thay. .Dosray test  ki taraf dekhty hue, star batsman  Williamson  ne kaha ke hum jantay hain ke England ka miyaar kya  hai aur un ko shikast  dena bohat mushkil hai. yeh zurori hai ke hum apne mansoobon par wapas ajayeen, naye maidan mein naye seray se aaghaz  karen aur mansoobon ke mutabiq cricket  khelain.  Williamson  ne kaha Deyone  ne apna miyaaar dikhaya hai, yah cricket ke ghar Lords main Debut  test  tha aur who araamde pursukoon nazer aaya ke aysa bilkul bhi mahsoos nahi hora tha ke who pahla muqabila khel raha hai  double century score karna na khabil e yakeen karnama  hai .