Sunday, April 28, 2024
HomeExclusiveWhatsApp, YouTube aap ke sab se baday dushman

WhatsApp, YouTube aap ke sab se baday dushman

Hyderabad: Pehlay Commandment mein aap ney padha ke ”Chahiye, Chahiye“ ko band kijiye yani ulma ko ye karna ”Chahiye“, Awam ko wo karna ”Chahiye“. Aap kya kar saktay hain wo aaj shuru kijiyej warna mashwaray mat dijiye aur nah tabsaray kijiyej. Dosray Commandment mein aap ney padha ke mai, Mein, Mein“ Ko dafan kijiyej. Teesra Commandment wo hai jis ka qayamat ke rooz sab se pehlay sawal hoga. Aur is ka jawab diye baghair koi shakhs apne rab ke samnay se ek qadam bhi agaye nah badh sakay ga ( Chahay is ke sath ibadatoon ke pahad kyun nah hon ) Yani ”Waqt kahan aur kaisay guzaraa. Omar kahan lagai aur jawani ki salahetin, Taaqat aur phirtiyan kahan sarf kiye. لاتزول ابن آدم یوم القیامہ من عند ربہ حتیٰ یُسأل عن خمسۃ، عن عمرہ فیما افناہ  و عن شبابہ فیما ابلاہ… ( Tirmizi 34595, 2416 )

Aaj ummat har mahaaz par jis shikast, Zillat aur ruswai ka shikaar hai is se saari qoum waaqif hai. Is badhaali se baher nikaalne ke liye nah kisi ke paas hatyar hai, Nah doulat nah power. Lekin mayoosi ki baat ab bhi nahi hai. Allah taala ne un halaat ka muqaabla karne ke liye hamein ek nemat ataa ki hai wo hai ”Waqt“. Ye sab se bada hatyar hai bashart e kay hum is ka sahih istemaal karlen. Aur agar nah karen to is ki bohat sakht pooch hai. Namazain, Rozay, Telawate, Zakat o khairaat sab ka hisaab baad mein hoga, Sab se pehlay jis cheez ka hesab hoga wo hai ”Waqt“. Is duniya mein bhi waqt ki ahmiyat ka ehsas bachpan se dilaya jata hai. Yom azaadi ke mauqa par jab classes sajai jati theen to hum se ye poster dewaroun par chaspan karwaye jatay they”“ Yani ”Woqt doulat hai“. Chunkay hum Commandments of Leadership ki baat kar rahay hain, Is liye hum dekhen ge ke hum loog jin kamoun mein apna waqt kharch kar rahay hain kya wo kaam hamein Leadership bakhsh satke hain ya mazeed kaahil aur be maqsad ensaan banatay hain? Hazrat Ali ney farmaya tha ke ”Waqt ek talwar hai, Agar tum is se nahi katu ge to ye tumhe kaat day gi“. Pehlay hum ye dekhen ke hum kis terhan is waqt ke hatyar ko nakara bana rahe hain, Phir aakhir mein ye dekhen ge hum is ko dobarah kaisay istemaal ke qabil bana satke hain. Jis terhan kisi sharaabii ko ya kisi chowe-baz ya charsee ko ye andaza nahi hota hai ke wo khud ko aur pooray muashray ko kaisay barbaad kar raha hai isi terhan jo loog aaj TV, WhatsApp, Facebook ya YouTube par masroof rehtay hain inhen ye bilkul andaza nahi hai ke wo khud bhi kis terhan barbaad ho rahay hain aur muashray ko kis terhan barbad karra he hai. Subah uthte hi kayi WhatsApp aur Facebook post hamaray muntazir rehtay hain, Bhejnay walay wo loog hain jin ke paas faaltu waqt bohat hota hai. Un mein aurtain aur mard dono shaamil hain. Twitter par dekhye to loog baday seyastdanoun aur mashhoor shaksiaat ki naqal karte hue do do chaar chaar satar ke paighamaat bhejnay mein lagey hain. Chahay padhnay waloun ki tadaad do chaar se ziyada nah ho. Instagram ya Tiktok is jaisi chichori sites par poori nojawan nasal dewaani horahee hai. Aur aisay aisay waheyat post hotay hain ke aqal dang reh jati hai ke nai nasal kya is qader badzoq hosakti hai?

Sab se ziyada waqt ki barbadi WhatsApp par hoti hai. Jitne Messages hum rozana wusool karte hain aur Forward karte hain, Apne aap se sawal karen ke kya hum ko itni Information ki waqai zaroorat hai? Is WhatsApp se pehlay bhi hum zindah they, Kya is waqt zindagi mein koi kami thi? Ya WhatsApp aajane ke baad zindagi mein koi behtari aagai hai? Muhalle mein kitney ghar lut rahay hain hum ko is ki khabar nahi hai lekin China ke Border par kya ho raha hai is ki pal pal ki khabar ek dosray ko forward kar rahay hain . Aap ke khandan waloun ko aap ki zaroorat hai lekin aap duniya mein corona se kahan kitney marra he hain ye Forward karte baithy hain. Chunkay zindagi mein koi bhi maqsad nahi hai, Waqt bohat hai kahan sarf karna hai is ka shaoor nahi hai is liye bachoun ki terhan ye social media par Forward Forward ka khail khail rahay hain.

Kuch loog thoday ziyada samajh daar hain, Wo Forward Forward to nahi khailtay lekin khud likh likh kar ya to shaya karwatay rehtay hain ya Forward karte hain ke Modi ne ye kar daala, Trump ko wo nahi karna chahiye tha aur Imran Khan kya kar rahay hain. Likhnay ka andaaz aisa hota hai goya Modi aur Trump samnay sharmindagi se sar jukaye khaday hain aur aap un ke kaan marod kar aap pooch rahay hain. Un ka likha huwa khud un ke betay ya damaad nahi padhte to bhala koi dosra kya padhay ga. Kya is daur mein Musalman siwaye saath sattar saal ke bodhoon ke, Koi sanjeeda cheez padhate jhai. Aap ghantoun apna waqt kyun zaya kar rahay hain? Phir likhnay ke baad sab se puchhte bhi hain ke ”Kiasa likha?“. Aur loog baghair padhay tareef bhi kardalte hain koi Like Click kardaita hai koi anghutha lehra deta hai. Agar aap ko kisi akhbar se do chaar so rupiye mil jatay hain to ye phir bhi theek hai. Lekin Dr, Wakeel, Consultant waghera apne waqt ke pesey letay hain, Lekin aap ko kya milta hai? Phir apna waqt kisi misbet amli kaam mein kyun nahi lagatay? Sahafi hain ke Modi, Amit Shah ko kisi biwa ki terhan kosnay mein lagey hain , Ulma hazraat hain ke aisay aisay masail par likhe jarahay hain jin ki aaj zaroorat nahi hai. Ek sahib tashhid mein ungli uthany ke ehkaam likh rahay hain, Koi Maulana chor ki saza haath kaatna hai ya nahi likh rahay hain, Aaj musalmanoon ke asal masail kya hain aur ye hazraat kis qisam ke masail par likh rahay hain, Koi poochnay wala nahi hai. Aurtain hain ke Fashion, Zewar, Ya phir fuzool cheeze Forward karne mein lagi hain. Dinee mizaaj ke loog hain ke har waqt ikhtalafi masail par saari duniya ke aqayed durust karne ki jung mein lagey hue hain. Deen qaim hota hai ya nahi ye un ka masla nahi hai, Bas un ka maslak qaim rahay, Yahi un ki justojoo hai.

WhatsApp par jo waqt ki tabahi hai loog is ka andaza nahi karte. Jab kisi Message ke anay ki Bell sunai deti hai, Hum is umeed mein Message kholtey hain ke shayed koi ahem kaam ki baat ho. Lekin Message mein hota hai ”Assalmualaikum, Jummay Mubarak, Muharam ka chaand Mubarak, Bawaseer ka behtareen ilaaj, Modi ki taaza taqreer, Ek Film star ney phansi lagali, Musalman ladki bhaag gayi“ Waghera. Bekar aur be maqsad loogon ke liye aisay Message to waqt ko guzaarne ke liye behtareen ghiza hain, Lekin ek maqsadi zindagi rakhnay walay masroof loogon ke sath ye zulm hai. Jo do chaar minute un ke Message khol kar dekhne mai zaya ho jatay hain wo kitney qeemti minute they is ka bhejnay walay be waqoof ko andaza nahi hota. Haan agar loog aisay be maqsad Message apne qareebi dostoun aur rishta daaron ko bhejen jo inhen jantay hain, Aur jin ko aisay Messages ki zaroorat hai to un ko Forward karna to theek hai. Lekin Broadcast Group banakar har ek ko bhejnay ki aadat daal lena nah koi sawab ka kaam hai nah jehaad balkay dosaron ka bhi waqt barbaad karne wali harkat hai. Tu waqtan koi message har ek ke liye intahi ahem Message nah ho, Hargiz Forward nahi karna chahiye.

Videos Forward karne walay to aur bhi ziyada waqt barbaad karne walay loog hotay hain. Apne waqt ko barbaad karne ka qayamat mein hisaab to den ge hi den ge, Dosaron ka waqt barbaad karne ka bhi inhen hisaab dena hoga. Video kya hai ye likhte bhi nahi taakay dekhnay walay ko ye andaza lag jaye ke ye is ke kaam ki hai ya nahi. Lekin dekhnay walay bhi itnay samajh daar nahi hotay, Jis terhan janwar har cheez ko khanay se pehlay mun laga kar ya sungh kar zaroor daikhta hai ke khanay ki cheez hai ya nahi, Ye loog bhi Message khol kar zaroor dekhte hain, Do teen minute zaye. Social media par waqt barbaad ke bad tareen nuqsanaat:- Aap jitni Videos Forward karte hain, Kya aap ko ye ilm hai ke un videos ki wajah se videos bananay waloun ki har video par lakhoon ki kamaai hoti hai. Kisi ney Musalmanoon ke khilaaf khoob zeher ugla ya kisi Hindu ney Musalmanoon ki taied mein jawab day kar fashistoun ko zaleel kardiya, Kisi Musalman ki pitai ki jarahi hai ya koi musalman kahin pait raha hai. Aap jaisay loog hi jazbati ho kar ye videos ek jehaad samajh kar fori Forward karte hain, Is par un ke manazair badhatay hain, Jis par un ko YouTube se paisa milta hai. Phir jitne ziyada loog ye videos dekhen ge itnay ziyada is video bananay waloun ko eshtehar melege jis se un ki aamdani dogni aur tugni hojayigi. Is liye videos bananay walay itnay chalaak hotay hain ke aisi video banatay hain jis se Hindu Musalman sabhi jazbati aur mushtael ho jaien aur ahem kaam chod kar pehlay ye videos dekhen. Ye sara ek Fixed match hota hai aur aap ko be waqoof banakar kamaya jata hai. Ye saari videos bananay wali Company unhi firqa parastoun ki hoti hain jo kabhi Musalmanoon ke khilaaf kabhi khud apne khilaaf propaganda karwa kar kamati hain. Un ki aamdani to Crores mein hoti hai lekin un videos ko Forward karkay aap ko kya milta hai?

Dosra bad tareen nuqsaan ye hai ke aap jitne WhatsApp ya Facebook par Messgas forward karte hain, Un mein se adhay se ziyada jhutay jaali hotay hain. Koi bhi khabar forward karne se pehlay Quran ke is hukum ko zahen mein rakhiye ke ”یاایھالذین آمنوا اِن جاء کم فاسق بنباِِ فتبینوا اِن تصیبوا قوماّ بجھالۃ فتصبحوا علی مافعلتم نادمین  (حجرات 6) Yani aye imaan walo jab koi fasik koi khabar laaye to pehlay is ki achi terhan tehqeeq karliya karo, Kahin aisa nah ho ke jahalat mein kisi se bhid jao aur tum ko phir apne kiye par sharminda hona pade. Ek hadees mein yahi baat aur ziyada wazeh aur tanbeeh ke sath aayi hai ke  ”کفیٰ بالمرءِ کذباّ ان یحدث بکل ما سمع“  Yani 1 shakhs ke jhoota honay ke liye itna bhi kaafi hai ke is ke paas jo bhi khabar aaye wo baghair tahaqeeq ke dosaroun ko suna day.

Dushman ka sab se bada hatyar ye hota hai ke wo aap ko khauf mein mubtala rakhay. Ye Psychological War hai jo field War yani medani jung ya fasadaat se ziyada khatarnaak hai. Is ke zariye aap ke hauslay ko khatam kiya jata hai yani aap ki himmat aur imaan ko kamzor kardiya jata hai. Isi liye Quran ne kaha ke aur tum ko zaroor aazmaaya jayega kayi cheezon se jin mein sab se pehlay khauf hai. ” ولنبلونکم بشئی من الخوف… Ye jo Lynching, Ya akailey Musalmanoon ko galiyoun ya khaitoun mein maaray janey ke, Masjiden giranay ke videos hotay hain ye sirf isliye phelaaye jatay hain ke Musalmanoon mein khauf o heraas phela kar un ke zehnon ko shikast khorda kardiya jaye. Un ke zehen mein baith jaye ke wo ab firqa paraston ke agay jhuk kar rahen. Aap aisi videos ko dekh kar ghusse mein ya ghairat jazbaat mein mushtael hokar jitni jagah forward karte hain aap unhi firqa paraston ki madad kar rahay hain jo is khauf ko ghar ghar pahunchana chahtay hain. Isi ka nateeja hota hai ke ek ghunda bhi aap ki bastii mein aakar kisi masoom par zulm kere to bajaye police ya qanoon ki madad lainay ke, Bajaye ghar se baher nikal kar muqaabla karne ke, Aap dar jatay hain aur darwazay band kar lete hain. Yaad hai jab Hafiz Junaid Shaheed, Ek nojawan jo madrasay ki chutiyoun mein Train mein ghar ja raha tha to usay train se utaar kar platform par khanjeroun se shaheed kardiya gaya. Kayi loog jo dekh rahay they un mein khud is nojawan ke madrasay ke saathi bhi they, Jo dar kar is ko bachanay nahi aaye, Junaid Shaheed cheekh cheekh kar madad ke liye pukaar raha tha. Is Shaheed ki Maa ke alfaaz ko yaad kijiye ke ”Agar do chaar dost bhi is ki madad ke liye aajate to mera beta bach sakta tha“. Firqa parast ye chahtay hain ke aap apne aap ko supurd kar dein aur dosray darjay ke shehrion ki terhan is mulk mein daray sehme rahen. Aap aisi videos ko forward karkay dushmanon ke kaam ko aasaaan kar rahay hain. Apni qoum ki shikast aur zillat ka inteqam lainay ke bajaye dosaron ko bhi buzdil aur kamzor bana rahe hain.

 

Dr Aleem Khan Falki

9642571721

Sadar Social Reform Society, Hyderabad.

Disclaimer: The views, thoughts & opinions expressed within this article are the personal opinions of the author. and the same does not reflect the views of Y THIS NEWS and Y THIS NEWS does not assume any responsibility or liability for the same.