Monday, May 13, 2024
HomeLatest NewsWhatsapp Status ko Facebook par share karne ki sahoolat

Whatsapp Status ko Facebook par share karne ki sahoolat

California : Aaj ka daur cyber daur kehlata hai aur daur-e-jadeed ka Insaan Technology ke baghair reh nahi sakta aur jab baat social media ko to aaj noujawan, bachay, budhey, mard aur khawateen sabhi Whatsapp ke baghair nahi reh sakte yehhi wajah hai ke social media ka sab se maqbool tareen app Whatsapp aaye din apne sarfeen ko kuch na kuch  tabdeeliyan faraham karta hai jis se Sarif apni yomiya zindagi ke umoor apne dost ahbaab aur afraad-e-khandan tak  pohanchata rehta hae aur ab Whatsapp ney apne sarfeen ko Whatsapp Status ko Facebook aur Instagram par share karne ki sahoolat bhi tajurubati tor par faraham kar di hai.

Whatsapp ney Status stories ko Facebook aur Instagram par barah-e-raast share karne ke liye naye feature ki azmaish ki hai. Whatsapp apne sarfeen ki Status ko deegar samaji Websites Facebook, Instagram, G-mail aur google par barah-e- raast share karne ki sahoolat faraham karne ke liye naye feature ki tayari mein masroof hai aur kuch sarfeen ko yeh sahoolat dastyab hai jin mein Raqam alhurof bhi shaamil hai.

Nai sahoolat ke tehat Whatsapp Status ko deegar apps par share karne ke liye option faraham kiya jayega jis ka intikhab karkay Status ko barah e raast doosri apps par ba aasani share kiya jasakayga. tafseelaat ke mutabiq Whatsapp is sahoolat ki azmaish mein masroof hai aur baaz sarfeen ko Beta version ke zariye tajribati bunyadon par is sahoolat tak rasai di gayi hai. is waqt Instagram aur Facebook ko Status ke liye bahami tor par munsalik kiya gaya hai taham Facebook ki malkiat Whatsapp mein yeh sahulat ab muyassar horahee.

Khayaal yahi kiya ja raha hai ke Facebook ke CEO Mark Zuckerberg ke vision 2020 ke tehat Whatsapp, Facebook aur Instagram ko bahami munsalik karkay mushtarqa features se sarfeen ke liye nai aasaniyan paeda ki jayen. yaad rahay ke Facebook mein pehlay hi stories ko Whatsapp par share karne ki sahoolat mojood hai. –YTN STAFF