Monday, May 13, 2024
HomeLatest NewsWhatsapp mein message forwarding ki nai sahoolat mutarif

Whatsapp mein message forwarding ki nai sahoolat mutarif

Hyderabad:  Whatsapp social media mein awam ka maqbool tareen app hai jis mein aaye din nai sahuliyaat aur features shaamil kiye jatay hain. Whatsappke 1.5 billion sarfeen ke liye is waqt ek aur nai sahoolat mutarif ki ja rahi hai jo ke paighamaat ko agay bhejnay ke zimn mein hai.

Whatsapp par rozana lakhoon messgae frwd kiye jatay hain isi ke tanazur mein ab company ne android ke beta version ke liye ek nai sahoolat faraham kar di hai jis ko forwarding  info ka naam diya ja raha hai. jis ke zariye yeh maloom kiya ja sakta hai ke ek paigham ko kitni martaba agay bheja gaya hai aur kon sa pegham sab se maqbool aam raha hai .

Whatsapp mein yeh nai sahoolat active karne ke baad istemaal ki ja sakti hai. jis ke zariye sarfeen yeh andaza laga satke hain ke unke kis paigham ko kitni martaba forward kiya gaya hai. Hindustan mein security wajuhaat ki bana par Whatsapp ki janib se messgae forward karne ki sahoolat ko mehdood kar diya gaya hai. intikhabaat ke paish-e-nazar hindostan mein ek paigham ko baik waqt 5 group ya sarfeen ko rawana kiya ja sakta hai ab is sahoolat ke zariye yeh maloom kiya jasakay ga ke kon sa paigham kahan kahan kitni martaba forward kiya gaya hai .