Sunday, December 8, 2024
HomeLatest NewsWhatsapp, Facebook aur Instagram ab ek sath istemaal karna mumkin

Whatsapp, Facebook aur Instagram ab ek sath istemaal karna mumkin

New York :  Facebook par login rehne ke sath Whatsapp aur Instagram istemaal karna mumkin ho gaya. social media ki mashur Website ne Whatsapp aur Instagram ko ek dosray se milaane ke ibtidayi kaam ko mukammal kar liya hai. company ne kaha ke Facebook, Whatsapp aur Instagram ko zam karne ka ibtidayi marhala 2019 ke aakhir ya phir 2020 tak mukammal karliya jayega. company ne elaan kiya tha ke naye features ke tehat tamam sarfeen ek hi app par rehtay hue har jagah apna mawaad shaya karne sameit har app aur Website ke doston ke sath guftagu karne ke ahal hojaienge.

Baad azan rawan baras June mein company ne is naye feture ko mehdood paemanay par azmaane ka kaam bhi shuru kya. June 2019 may khabar samnay aayi thi ke company ne America aur Europe ke kuch sarfeen ko Whatsapp status ko apne Instagram aur Facebook par share karne ki sahoolat faraham kar di hai aur is par aazmaishi kaam shuru kardiya gaya. ab khabar aayi hai Facebook ne Whatsapp aur instagram ko ek dosray se milane ke ibtidayi kaam ko mukammal kar liya hai aur jald hi company naye feture ko muta-arif karwadegi. Facebook se munsalik teen ohdedaron ne kaha hai ke company ne Facebook, Whatsapp aur Instagram ko ek dosray se milaane ki sahoolat par ibtidayi kaam mukammal karliya.

Ohdedaron ke mutabiq ibtedayi kaam mukammal honay ke baad jald hi Whatsapp aur Instagram par sarfeen ko un hi apps par rehtay hue Facebook istemaal karne ka feture dikhayi dainay lageyga. isi tarha Facebook par bhi sarfeen ko wohi rehtay hue Whatsapp aur Instagram ko istemaal karne ka feture dikhayi dega. yeh sahoolat Whatsapp, Instagram aur Facebook par icon ki shakal mein nazar aeyega aur is sahoolat ko Instagram from Facebook aur Whatsapp from Facebook ka naam diya jayega. un sahuliyaat ko istemaal karte hue sarfeen Facebook par rehtay hue Whatsapp ke sarfeen se rabita karne sameit un ke sath mawaad ki shaya kar saken ge. isi tarha sarfeen Whatsapp par rehtay hue Facebook ko istemaal kar sakenge. is waqt Facebook ko istemaal karte waqt sarfeen ko Whatsapp karna padta hai aur Instagram par jane ke liye inhen Facebook ko bhi band karna padta hai. taham naye feture anay ke baad sarfeen Facebook par rehtay hue Whatsapp aur Instagram ko ek sath istemaal kar saken ge. jab ke Whatsapp par rehtay hue Facebook ko istemaal kar saken ge. yeh hunooz maloom nahi ho saka ke Whatsapp par rehtay hue sarfeen Instagram bhi istemaal kar sakenge ya nahi.

Khayaal kiya ja raha hai ke Facebook intezamiya un naye features ko aindah chand hafton mein shaamil karne ke baad is ki azmaish shuru kardeyga. ibtidayi tor par is feature ko American wo Europi sarfeen mein aazamaae jane ka imkaan hai jiske baad is feture ko asia mein aazmaaya jayega aur mumkina tor par rawan baras ke ekhtataam ya phir naye saal ke aaghaz par is feture ko mukammal tor par muta-arif karwaya jayega. yaad rahay ke is waqt hindustani chand sarfeen ko Whatsapp ke status ko Facebook par shaya karni ki sahoolat dastyab hai. –YTN STAFF