Monday, May 6, 2024
HomeSliderWest indies ko 2-0 se shikast di, New zealand teesray maqam

West indies ko 2-0 se shikast di, New zealand teesray maqam

Wellington: Fast bowler Trent boult ki 96 runs par teen wicket aur neel 54 runs par teen wicket ki khatarnaak bowling se newzealand ne dosray cricket test ke chouthay din pir ko west indeis ko inning aur 12 runs se shikast daalkar domichon ki series mein 2-0 clean sweep karliya .

Newzealand ne is jeet ke sath world test championship mein 120 points haasil kiye. west indies ne chouthay din chay wicketon par 244 runs ka aghaaz kiya lekin inning ki shikast se bach nah saka aur un ki inning 317 runs par simat gayi. Is jeet ke sath hi newzealand world test championship mein England ko mamooli farq se shikast day kar teesray maqam par aagaya hai aur unki championship ke final mein pohanchanay ki umedon mein bhi izafah hua hai.

West indies kay khilaaf shandar batting ke liye nicolas ko player of the match jamson ko player of the series qarar diya gaya.

west indies ke liye captain Jason holdar ne din ka aaghaz 60 aur silva ne 25 runs se kiya. lekin holdar ziyada der crease par nah reh sakay aur tim southee ne unko bold karkay un ki inning khatam kardi. Holdar ne 93 gaindon mein aath chowkun aur do chakkon ki madad se 61 runs banaye.

Is ke baad d silva ne joseph ke sath inning ko agay badhaya lekin southee ne joseph ko out kardiya. Joseph ne 12 gaindon par 24 runs ki ining mein teen chokay aur do chhakay lagaye. joseph ke baad d silva ziyada der tak jad-o-jehad nahi kar sakay aur vignr ne unko LBW kardiya. jaisay hi woh out hue west indies ki umeeden bhi khatam hogai aur woh inning se hargye. d silva ne 84 gaindon mein chay chowkun ki madad se 57 runs banaye.

West indies ki ining mein shimar holdar teen chowkun ki madad se 15 gaindon mein 13 runs bananay ke baad nat out rahay. Newzealand ke liye vignr ne 17.1 overs mein 54 runs par teen, boult ne 21 overs mein 96 runs day kar teen, southee ne 22 overs mein 96 runs par jamson ne 15 overs mein 43 runs par do wickten haasil kee.