Friday, May 17, 2024
HomeSportsWest Indies cricket team England pahonch gayi

West Indies cricket team England pahonch gayi

London: Bain ul aqwami cricket ki bahaali ke liye be taabi se muntazir muntazmeen aur shaiqeen ke liye badi khusguwar khabar England se aayi hai jahan West Indies ki team Test series khailnay pohanchi hai. Wo cricket shaiqeen jo guzashtah 3 mah se puranay matches ki TV aur social media par dikhayi jane wali jhalkiyoun se boriat ka shikaar they ab un ko barah e raast cricket dekhnay ko mileygi. Khabar rasan idaray ke mutabiq English cricket team ke captain Joe Root ne West Indies ki team ke doray ke faislay ke baarey mein kaha ke ye bohat hi ziyada heran kun hoga aur mere khayaal mein poori dunyae cricket shukar guzaar hogi ke kuch khail dekhnay ko mileyga. Tafseelaat ke mutabiq ab ki baar series ke matches Oval , Edgbaston  aur Lords ke Grounds mein hazaroun shaiqeen ke samnay nahi honge balkay Old Trafford aur Ageas Bowl mein stadium ke band darwazoun ke peechay khailay jayenge jahan khiladioun ke liye virus se bachao ka mahol hoga. Test cricket mein din ka khail khatam honay par kheladi shaam ko baher waqt guzartay thay lekin rawan series mein stadium ke andar hi banaye gaye hotels mein theharna hoga aur is ke liye bhi aalmi waba se hifazati mahol tayyar kiya gaya hai. Hampshire ke Ageas Bowl  Stadium mein series ka ibtidayi match 8 July ko hoga jabkay aglay dono test Old Trafford ke Ground par khailay jayenge. Gaind ko swing karne ke liye is par thook ke istemaal par pabandi ka faisla bain ul aqwami cricket council ke ijlaas mein kiya jayega jabkay khiladioun ke corona test baar baar kiye jayen ge. England aur wheels cricket board ke events director Steve Elworthy ne kaha hai ke hamara bunyadi maqsad tamam shiraakat daaroun ko mukammal mehfooz mahol faraham karna hai. Agar garmiyoun ke season mein cricket nahi hoti to English cricket board ko 316 million Dollars ka nuqsaan hoga. Dunyae cricket ki ghareeb tareen teams mein se ek West Indies ab duniya ki Ameer tareen teams mein se ek England ki madad kar rahi hai aur England ke sabiq captain David Gower ne kaha hai ke West Indies ki team ne hamein sahara diya hai’ Aisay waqt mein jab Bartania mein coronavirus se amwaat 40 hazaar ho chuki hai.