Monday, May 20, 2024
HomeIndiaWest Bangal se Siyasi tashadud par markaz ney report talab karli

West Bangal se Siyasi tashadud par markaz ney report talab karli

New Delhi: Markaz ney West Bengal mein Siyasi tashadud ke barhatay huwe waqhiyat par gehri tashweesh ka izhaar karte huwe reyasti hukoomat se un par qaboo panay aur is ki tehqiqhaat ke liye uthaye gay iqdamaat ke baray mein report dainay ki hidayat di hai.

Wizarat e  Dakhila ne Riyasti hukoomat ko aik advisory jari karkay guzashta chaar barson mein 2016 taa 2019 ke darmain intekhabaat se mutaliq aur siyasi tashadud ke barhatay huwe waqhiyat ka hawala dete huwe kaha hai ke guzishta kuch barson se musalsal jari tashadud ke waqhiyat gehri tashweesh ka mauzo hai.

Wizarat ney kaha hai ke riyasti hukoomat ki is se pehlay bhaije gayi aik report mein siyasi tashadud ke baray mein diye gay adad o shumaar se pata chalta hai ke saal 2016 se 2019 tak siyasi tashadud ke waqhiyat ka silsila musalsal jari hai. Yeh is baat ka ishara hai ke riyasat mein qanoon wanzan bahaal karne wali machinery nakaam hochuki hai aur woh awam mein salamti ke ehsas peda karne mein bhi nakaam rahi hai. Usay dekhte huwe markazi hukoomat West Bengal ki soorat e haal ke silsilay mein fikar mand hai.

Riyasti hukoomat ki pehlay ki report ka hawala dete huwe wizarat ney kaha hai ke riyasat mein saal 2016 mein siyasi tashadud ke 509 waqhiyat huwe, saal 2018 mein badh kar 1035 hogaye aur saal 2019 mein ab tak 773 tashadud ke waqhiyat ho chukay hain. Bangal mein saal 2016 mein 36 afraad ki mout huwi, 2018 mein yeh tadaad 96 hogayi aur is saal ab tak 26 afraad ki mout hochuki hai. Advisory mein kaha gaya hai ke riyasti hukoomat siyasi tashadud ke waqhiyat par qaboo panay aur un ki tehqiqaat ke liye kiye iqdamaat ke baray mein wizarat dakhla ko report beje.