Thursday, May 9, 2024
HomeSliderWazeer-e-azam Narendra Modi ko Global Goalkeeper award se nawaza gaya

Wazeer-e-azam Narendra Modi ko Global Goalkeeper award se nawaza gaya

New York : Wazeer-e-aazam Narendra Modi ko mangal ke roz Bill and Melinda Gates Foundation ne ”Swach Bharat mission“ ke liye ”global goal keeper award se nawazagya.

UNGA ke mauqa par ek taqreeb mein inhen bill Gates ne award se nawaza. Narendra Modi ne yeh award milnay par bill and Melinda Gates foundation ka shukriya ada kiya aur iss award ko 130 crore Hindustaniyoun ke naam kiya.

Wazeer-e-aazam ne kaha ke inhen mila yeh aizaz lakhoun Hindustaniyoun ke liye hai, jinhon ne is mission mein hissa liya.

unhon ne kaha ke ”Mahatma Gandhi ki 150th saalgirah ke mauqa par mujhe yeh award diya jana mere liye zaati tor par bhi bohat ahem hai. unhon ne kaha ke jab unhon ne 5 saal qabal pehli baar clean India muhim ke baray mein baat ki to, mukhtalif radd-e-amal samnay aaye they, lekin agar aap apne maqsad ke liye pur-azm hain to phir iski koi ahmiyat nahi hoti.

Modi ne kaha ke mai is award ko un logon ke liye waqf karta hon, jinhon ne apni roz maraah ki zindagi mein safai ko awleen tarjeeh di hai. unhon ne kaha ke agarchay ke unki hukoomat ne Swachta mission shuru kiya tha, lekin logon ne usay sambhaal liya.

Wazeer-e-aaazm ne kaha ke ”jab unhon ne 2014 mein Iqtidaar sambhala tha, us waqt mulk mein 40 feesad se kam gharon mein bait-ul-khala they aur ab 100 feesad gharon mein hain. unhon ne kaha ke Swach Bharat mission ki kamyabi ne sab se ziyada khawateen ko faida pohanchaya, kyunkay dehi ilaqon mein khawateen ko rafaa haajat ke liye andhera honay ka intzaar karna padta tha.

Modi ne kaha ke is mission ne hazaron janwaron ko bachanay mein bhi madad ki hai. unhon ne WHO ki ek report ka hawala diya, jis mein kaha gaya hai ke gharoun mein Bait-ul-khala taamer karne se 300,000 afraad ki jaanen bachchen. –YTN STAFF