Friday, May 17, 2024
HomeHyderabadWazeer e Aala fori Osmania Hospital ka dora karen: Sadar Telangana BJP...

Wazeer e Aala fori Osmania Hospital ka dora karen: Sadar Telangana BJP Bandi Sanjay

Hyderabad: Telangana BJP ke sadar Bandi Sanjay ne ilzaam lagaya hai ke sarkari Hospitals mein munasib sahuliyaat nahi hain jis ki wajah se logoun ko shadeed mushkil sorat e haal ka saamna hai. Ek taraf corona ki wajah se un ko mushkil sorat e haal ka saamna hai to doosri taraf ye loog Osmania Hospital mein sewage ke sangeen masail ka saamna kar rahay hain. Bandi Sanjay ne aaj Osmania hospital ka party leader Ramachandra Rao aur dosroun ke sath muaina kiya. Is mauqa par media se baat karte huve unhoun ne kaha ke reyasti wuzra aur awaami numainday sarkari Hospitals mein kam sahuliyaat ke baaray mein izhaar khayaal nahi kar rahay hain.

Unhoun ne wazeer e aala par nuqta cheeni karte hue kaha ke wo Hospitals ki khasta haali par tavajja markooz nahi kar rahay hain jis terhan wo beshtar projects par tavajja day rahay hain. Hukoomat Corporate Hospitals mein logoun ko lout liye jaaane ke waqeat ko rokne mein nakaam hogayi hai . Sanjay ney kaha ke unhoun ney hukoomat se khwahish ki thi ke wo corona ke ilaaj ko Arogyasree ke tehat laaye taham hukoomat ney is par koi rad-e-amal zahir nahi kiya. Unhoun ney Remark kia keh Osmania hospital girnay ke qareeb hai. Unhoun ney wazeer e aala se mutalba kiya ke wo hospital ka fori tour par muaina karen aur is ke taraqiyati kamoun par tawajah markooz Karen.