Wednesday, June 19, 2024
HomeIndiaWazeer-e-aaazm ney jaan bahaq afraad ke lawahiqeen ko 2 laakh rupaye dene...

Wazeer-e-aaazm ney jaan bahaq afraad ke lawahiqeen ko 2 laakh rupaye dene ka kiya elaan

New Delhi : Wazeer-e-aazam Narendra Modi ney Delhi ki ek bag factory mein aag lagnay se jaan bahaq honay walay afraad ke lawahiqeen ke liye 2 laakh rupaye aur is haadsa mein zakhmi honey waloun ke liye 50,000 rupaye dene ka elaan kiya. Wazeer-e-azam ke Twitter handle mein kaha gaya hai ke ” Delhi mein alamnaak aag ki wajah se apni jaanein gawaney waloun ke lawahiqeen ke liye PMNRF ki taraf se 2 laakh rupaye dene ka elaan kiya. aur aag se shadeed zakhmi honay walay afraad ko 50,000 rupay ki manzoori di hai.

Is se qabal, Delhi ke wazeer-e-aala arvind Kejriwal ney bhi itwaar ki subah maghribi Delhi ke ilaqay rani jhansi road mein pesh aaye bag factory mein aag lagnay ke mazkoorah waqea mein halaak honay walon ke lawahiqeen ko 10 laakh rupaye, aur zakhmion ko ek laakh rupaye ki imdaad dene ka elaan kiya hai. mazkoorah waqea mein 43 afraad halaak aur ek darjan se zayed zakhmi hogaye.

Isi ke sath BJP ney halaak honay walon ke lawahiqeen ko 5 laakh aur zakhmion ko 25 hazaar rupaye dene ka elaan kiya hai. is haadsa mein halaak honay afraad mazdoor they jo factory mein so rahay they, itwaar ki subah 4:30 se 5 bajey ke darmiyan aag lagi, jis mein woh halaak hogaye aur kayi zakhmi hogaye. isi beech, police ney bataya ke factory ke maalik ke khilaaf rehaishi ilaqay mein bag saazi unit chalanay aur hifazati qawaneen ki Khilaf warzi karne par FIR darj ki gayi hai. –YTN STAFF