Wednesday, May 15, 2024
HomeIndiaWazeer aazam qoum ko bigaadnay ki koshish kar rahay hain : Rahul...

Wazeer aazam qoum ko bigaadnay ki koshish kar rahay hain : Rahul Gandhi

New Delhi: Congress party ki janib se munaqqid kiye gaye, Shehriat tarmeemi Act ( CAA ) aur national register of Citizenship  ( NRC ) se mutaliq oppostion ke ijlaas ke baad, Congress rehnuma Rahul Gandhi ne peer ko wazeer aazam Narendra  Modi par sakht hamla kiya, Aur ilzaam lagaya ke hukoomat muashi mamlaat mein nakaam ho gayi hai. Aur ab wo dosray tareeqoun se mulk ko maskh kar rahi hai.

Rahul Gandhi ne kaha ”Narendra Modi ko nojawanoun ko ye bitanay ki himmat karni chahiye ke hindustan ki maeeshat tabahi ka shikaar ho gayi hai, Be rozgari kyu badh rahi hai. Kyun university ke andar talba par lathiyan bar saye jarahi hain. Un mein himmat nahi hai ke wo talba ke samnay khaday ho saken. Unhoun ne wazeer aazam ko lalkartay hue kaha ke mai inhen challenge karraha hu ke wo kisi bhi university mein jayen, Police ke baghair khaday hon aur logoun ko bitayen ke wo is mulk ke liye kiya karne ja rahay hain.“

Unhoun ne kaha ke hukoomat no jawanu ki aawaz dabanay ki koshish kar rahi hai. Aur nojawanu ke mutalibaat durust hain, Lekin hukoomat un par kaan nahi dhar rahi hai. Is se qabal oppostion jamaatoun ne New Delhi mein CAA aur NRC NPR muamlay par hikmat e amli tayyar karne ke liye mulaqaat ki. Is meeting mein 20 siyasi jamaatoun ne shirkat ki. Lekin 2 ahem halifoun, DMK aur Shive Sena ne is meeting mein shirkat nahi ki.

Mazkorh meeting ki sadarat congress sadar Sonia Gandhi ne ki aur is mein sabiq wazeer aazam Manmohan Singh aur party ke sabiq sadar Rahul Gandhi, Ghulam Nabi Azad, A.K Antony, Ahmed Patel aur K.C Vinugopal mojood they. Nationalist congress party ke Sharad Pawar aur Praful Patel, marksi Communist party ke Sitaram Yechury, Jharkhnd mukti morcha ke Hemant Soren, Ke ilawa deegar kayi ahem rehnumao ne shirkat ki. –YTN STAFF