Monday, April 29, 2024
HomeLatest NewsWashington mein senkedoun afraad ne CAA aur NRC ke khilaaf ehtijaj kiya

Washington mein senkedoun afraad ne CAA aur NRC ke khilaaf ehtijaj kiya

Washinton: Washinton mein senkedoun afrad ne sarad mausam ka saamna karte hue itwaar ke roz hindustani sefart khane ke rubaroo jama hoye aur hindustan ke mutanazia shehriat tarmeemi qanoon ( CAA ) aur National Register Citizen( NRC ) ke khilaaf par zor ehtijaj kiya. Americi Bazaar ki report ke mutabiq, Mahatma Gandhi ke mujasmay ke samnay itwaar ke roz munaqidah, CAA aur NRC ke khilaaf ehtijaj aur rally mein 500 se zayed afraad ne shirkat ki, Jo haliya barsoun mein honay wali rallyoun mein sab se badi rally mein shaamil ho gayi hai.

Ahtijaj ke douran Kerala se talluq rakhnay walay tarikeen watan Basil Baby ne kaha ham is terhan nahi hain, Hum ek Secular jamhooria hin“. Ab hukoomat logoun ko un ke mazhab ya mazhabi nazriaat se taqseem karne ki koshish kar rahi hai, Jo sahih nahi hai. Lehaza hum yahan par aman ehtijaj kar rahay hin“. Is ehtajaji rally mein mukhtalif hindustani aur mazahab aur mukhtalif qomitoun ko dekha gaya.

Ahtijaj ke douran shurka ko 2 kaam anjaam dainay ka ehad kiya, Ek, baydaari peda karna aur dosar, a wazeer aazam Narendra Modi aur hindustani hukoomat ko ek pegham bhejna. Rally ke muntazmeen ki taraf se manzoor ki jaane wali ek qarar daad mein kaha gaya hai ke CAA aur NRC dono ke mumkina nifaz se ”Aksareti aur aqliati tabqaat ke mabain baday tanaza peda honay ka khadsha hai, Jis se hindustani musalmanoun ki shehriat ki hesiyat mein kami aayegi.

Americi Bazaar ne qarardad ke hawalay se kaha ke ”Jaise haal hi mein Assam aur Kashmir , Aur deegar maqamat par inteshaar phail gaya hai, Un karwaiyoun se hindustani qoum aur hindustani awam ko bohat ziyada nuqsaan poanch sakta hai“. Ahtijaj karne waloun mein wo bhi shaamil they jin ka hindustan se koe talluq nahi tha. Shumali Virginia ke rehaishi Charles Stevens ne kaha ke wo mohabbat aur rawabit ke pegham ko aam karne ke liye is programme mein mojood hain.

CAA, Jo 12 december sadar jamhooria ki dastakhat ke sath hi qanoon ban gaya tha, Is ke zareya Afghanistan, Pakistan aur Bangladesh mein muqeem aur un mulkioun mein zulm ka saamna karne walay Hindu, Sikh, Paarsi, Jain, Budhist aur Asaion aur Jainu ko hindustani shehriat dainay ki koshish hai. Aur is mein musalman aur Shia ko shaamil nahi kiya gaya hai. Is act ki manzoori ke nateejay mein poooray mulk mein, Khaas tor par mulk ke shumal mashriqi khittay mein wasee pemanay par mukhalifat ki ja rahi hai. –YTN STAFF