Friday, May 10, 2024
HomeIndiaWaris Pathan ke khilaaf muqadma darj

Waris Pathan ke khilaaf muqadma darj

Kalaburagi: All India Majlis-e-Ittehadul Muslimeen ( AIMIM ) ke leader aur tarjuman Waris Pathan ke khilaaf yahan haal hi mein munaqqid Shehriat Tarmeem Qanoon ( CAA ) ke khilaaf rally ke douran ishtial angaiz bayan ke muamlay mein Police ne ek muqadma darj kiya hai. Police zaraye ke bamujab ek khatoon wakeel ki shikayat par AIMIM leader Pathan ke khilaaf FIR darj ki gayi.

Waris Pathan ke khilaaf tazirat ikhlaq ki dafaa 117, 153 ( fasaad ke liye mushtael karna ) aur dafaa 153 A ( 2 Groupon mein nafrat phelana ) ke tehat muqadma darj kiya gaya hai. Is muamlay ko sanjeedgi se letay hue Karnataka ke wazeer e dakhla Basavaraj Bommai ne Kalaburagi shehar ke police commissioner ko waqea ke barey mein Report somp ne ki hidaayat di hai.

Wazeh rahay ke Waris Pathan ne Karnataka ke Kalaburagi mein 19 Feb ko jalsa aam ke douran mutanazia bayan mein kaha waqt aa gaya hai ke hum muttahid ho jaien aur aazadi len. Hum 15 Crores 100 Crore aabadi par bhaari hain. Unhoun ne kaha hum ne eent ka jawab pathar se dena seekh liya hai lekin hamein muttahid hukar chalna pade ga. Azaadi leni pade gi aur jo cheez mangnay se nahi millti hai, Is ko chean liya jata hai.

Waris Pathan ke ishtial angaiz bayan par Party sarbarah aur rukan Parliament Asaduddin Owaisi ne karwai karte huve Waris Pathan ke media se baat karne par rokk laga di hai. Jab tak Party ijazat nahi degi tab tak Waris Pathan awaami tor par bayan nahi day saken ge. –YTN STAFF