Saturday, May 4, 2024
HomeJurmWarangal qatal ke mujrim ko phansi, Faisla par awam mutmyin

Warangal qatal ke mujrim ko phansi, Faisla par awam mutmyin

Hyderabad: Telangana ke maqam Warangal mein 9 afraad ko qatal karne ke dil dhula dainay walay muqadma muqami adalat ne ahem faisla sunaate hue mujrim ko phansi ki saza sunayi hai. Adalat ke is faisla par awam ne khushi aur itminan ka izhaar kiya hai. Telangana ke zila Warangal gaon mein 5 mah pehlay is waardaat ko ek hi mujrim ne anjaam diya tha. Awam ne is faisla par etminan ke ilawa corona bohraan ke bawajood ohdedaron ki janib is maamla ki samaat jald mukammal honay ko yakeeni banaye jane aur First Additional District and Seasion Judge Warangal Court ki janib se aaj yeh faisla sunaye jane ki sataish ki hai. Is maamla ko shazonard maamla qarar daitay hue sarkari wakeel ne mujrim ko phansi ki saza dene ki darkhwast ki thi. 20 May ko Warangal ke nawahi ilaqa ke Gorrekunta ilaqa ke kovve mein 9 lashain mili theen.

Is muqadma mein karwai karte hue police ne mulzim ke khilaaf saat daf-aat lagatay hue is waardaat ke androon 1 mah charge sheet daakhil ki thi. Muqami afraad ne mujrim ko phansi ki saza sunai jane par musarrat ka izhaar kiya hai. Mujrim ke ilawa deegar halaak honay afraad naqal makani karne walay mazdoor thay. Marnay walon ki shanakht 50 sala Maqsood Alam, Biwi ki 45 sala Biwi Nisha Alam, 21 sala beta Shahbaz Alam, 20 sala Sohail Alam, Beti 22 sala Bashri Alam, Bashri ka 2 sala beta ke ilawa 35 sala Sri Ram, 40 sala shakeel aur 40 sala Shyam ke tour par ki gayi hai. Bihar se talluq rakhnay wala 24 sala Sanjay jis ko adalat ne mujrim qarar diya hai woh 6 saal qabal rozgaar ki talaash mein Warangal aaya tha.

Woh thelay bananay wali company mein mulazimat karta tha jahan Maqsood bhi kaam karta tha. Maqsood apne khandan ke sath yahin rehta tha. Sanjay ke taluqaat maghribi Bengal ki rehne wali Rafiqa se peda hogaye jo khud bhi naqal makani karne wali mazdoor thi. Woh Maqsood ki biwi ki rishta daar thi. Rafiqa apne 3 bachon ke sath alahda rehti thi. Sanjay ne Rafiqa se shadi ka wada kiya tha taham is ki nazar Rafiqa ki na baligh beti par bhi thi. Rafiqa is se shadi ke liye Sanjay se esraar kar rahi thi taham woh is ko taall raha tha taham Rafiqa ke shadi ke mutalba mein shiddat par is ne apne rishta daaron se milaane ke liye bahanay train mein le gaya aur douran safar ghiza mein be hoshi ki dawa miladee aur jab woh be hosh hogayi to is ko chalti train se dhakka day kar gira ke qatal kardeya Sanjay mujrim jab Warangal wapas huwa to Maqsood ki biwi ko Rafiqa ke baray mein Sanjay ke mutsad jawabaat par shuba huwa jis ne is ko dhamki di ke sach nah bolnay par police se rujoo hogi jis ke baad hi Sanjay ne Maqsood ke khandan ko halaak karne ka mansobah banaya.

Is ne Maqsood ke ek betay ki saalgirah ke mauqa par pakaye gaye khanay mein neend ki golian miladein. Is ne sath mein yeh khana, Isi compound mein rehne walay deegar 2 afraad Shyam aur Sri Ram ko bhi khila diya jis se woh bhi halaak hue kyunkay Sanjay ko shuba tha ke Maqsood ke ghar walon ko halaak karne ke baad yeh dono afraad police ko is ke baray mein ittila day satke hain. Un tamam afraad ke be hosh honay ke baad is ne thilon mein un ko rassi se bandh kar konvey mein pheink diya jis ke nateeja mein un tamam ki mout hogayi. Police ko ibtida mein ek laash nazar aayi thi taham baad azan jab kunvey se pani nikala gaya to mazeed 8 lashain bar aamad huien. Police ne Sanjay ko 25 May ko giraftar kiya tha.