Saturday, May 4, 2024
HomeTelanganaWarangal Coronavirus ke mareezoun se pak

Warangal Coronavirus ke mareezoun se pak

Warangal: Is waqt riyasat Telangana mein Coronavirus ke phelao ko roknay ke liye iqdamaat kiye jarahay hain lekin Warangal zila mein COVID-19 ka ek bhi misbet waqay Record nahi kiya gaya hai. Warangal dehi zila wahid aisa zila hai jis mein sarkari Machinery aur awam ki imdad se halaat qaboo mein honay ke alawa abhi tak koi misbet maamla darj nahi kiya gaya hai. Narsampet aur Parkal ki Municipality Warangal dehi zila ke tehat atay hain. District Medical And Health Officer ( DMHO ) Dr Madhu Sudhan ke mutabiq yahan majmoi tor par 100 afraad beroun mumalik se wapas aeye hain aur is zila mein 1763 bain reyasti musafiroun ka pata mil gaya hai.

Khush qismati se kisi ko bhi COVID-19 misbet tajurbah nahi huwa. Taham hum ye dekhnay ke liye tamam iqdamaat kar rahay hain ke koi bhi saans ki bemari se mutasir to nahi hai. District Machinery ne 3 Quarantine ki sahuliyaat qayem ki hain jin ki jumla bistaroun ki gunjaish 500 hai. Unhoun ne 21 bistaroun ki gunjaish walay sarkari dawakhanoun mein 3 allag thalag Wards bhi qayem kiye hain. DMHO ne bataya ke unhoun ne jumla 417 Medical Teams tashkeel di then. Ghair mulki wapas anay walay aur bain reyasti musafiroun ki sahet ki jaanch ki jarahi hai. Unhoun ne mazeed kaha agarchay Test ke liye mushtaba afraad ke khoon ke 13 namoonay beje gaye hain, Un sab ki Report manfi aayi hai. Darin asna , Warangal ke qareebi Zila ke 2 COVID-19 mareezoun ko Gandhi Hospital, Secunderabad se sahet yab honay ke baad ghar jaany ki ijazat di gayi hai. –YTN STAFF