Jayen to kahan jayen?
Ather Moin
Telangana State Waqf Board ney achanak tabdeeli mazhab ke sadaqtnamon ki ijrayi masdood kar di hai jis ke baayis Waqf Board se rujoo honey walay Nav Muslim afraad ko ajeeb o ghareeb sorat e haal ka saamna karna pad raha hai aur woh apne ahem kamon ki anjaam dahi se mehez is liye maflooj hogaye hain ke un ke paas Waqf Board ka jari kardah sadaqatnama tabdeeli e mazhab maujood nahi hai, is liye woh Waqf Board mein aik ohdedar se dosray ohdedar ke paas daudtey minnat samajat karte hue nazar atay hain. Waqf Board arsa daraaz se hi jahan sadaqatnama Nikah aur sadaqatnama Talaq o Khula jari karta hai wahein woh tabdeeli mazhab ka bhi sadaqatnama jari karta hai aur yeh sadaqatnaame nasirf Mulk balkay bairoon Mulk bhi tasleem o qubool kiye jatay hain. Yeh sadaqatnaame bauhat se umoor mein nihayat hi kaar amad saabit hotay hain khaas kar Passport ki tayari aur kayi mumalik ke family visas ke husool ke liye un sadaqtnamon ki peshkashi zurori hoti hai. Sadaqatnama tabdeeli mazhab Nikah ke liye bhi zurori hotay hain. Agar koi mard ya aurat dosray mazhab ko tark karkay Islam qubool karte hain to unhen Nikah karne aur Passport ki tayyari ke liye Waqf Board ke jari kardah sadaqatnama tabdeeli mazhab ki peshkashi zurori hoti hai. Har saal aik andazay ke mutabiq Telangana Waqf Board ki janib se salana taqreeban 500 sadaqatnama tabdeeli mazhab jari kiye jatay hain. Yahan yeh wazahat zurori hai ke Waqf Board yeh sadaqatnaame apne taur par tahaqeeq karte hue jari nahi karta hai balkay Qazion ki janib se jari kardah Booklets aur chand mustand Mili idaron aur mazhabi shaksiaat ki janib se jari kardah sadaqatnama tabdeeli mazhab ki asaas par jari karta hai. Is terha un sadaqtnamon ki hesiyat sirf toseeqi hoti hai magar deegar ahem umoor jaisay Passport ki tayari, Family Visas ka husool aur Nikah ke liye Waqf Board ki janib se jari kiye jaany walay sadaqtnamon ka hi aitbaar kya jata hai. Waqf Board ki website par paish kardah adaad o shumaar ke mutabiq Waqf Board ney Jaria saal 1st January se 31st March tak teen mah ke arsa mein Nikah ke 10,200, ghair mulkion ko Nikah ke 158, Talaq ke 150, Khula ke 50 aur tabdeeli mazhab ke 118 bamaavezah sadaqatnaame jari kiye hain.
Yaad rahay ke mutahidda Andhra Pradesh mein Nikah, Talaq o Khula aur tabdeeli mazhab ke sadaqtnamon ki ijrayi mein yaksaniyat paida karne Waqf Board ki tajweez par mehakuma Aqliati behbood ki janib se aik sarkari hukumnama GO MS no. 37 dated 10th November 2002 jari kya gaya tha jis mein kaha gaya ” Chief Executive Officer A.P. State Waqf Board ki janib se paish kardah report ke tanazur mein Hukoomat ney maamla ka bareek beeni se jaiza lainey ke baad Nikah/Talaq/tabdili e mazhab ke sadaqtnamon ki ijrayi mein saari riyasat mein Quzath ke aik uniform system ko ikhtiyar karne ka faisla kya hai. Telangana mein jari nizaam Quzath ko Andhra aur Rayalaseema khitton tak bhi wusat di jaye gi. Chief Executive Officer A.P. State Waqf Board ko ikhtiyar diya jata hai ke Telangana khitta ke khutoot par Andhra aur Rayalaseema khitton mein Qazion ko sadaqatnama Nikah Booklets jari kiye jayen.” Agarchay yeh GO darasal Telangana mein raayej nizaam Quzath ko Andhra o Rayalaseema mein bhi raaij o ikhtiyar karne ke liye jari kya gaya tha chunkay Telangana mein Asif jahi daur se hi baani Jamia Nizamia Moulana Anwaarullah Farooqi ka waza kardah aik jame Nizaam Quzath chala aaraha tha jabkay Andhra aur Rayalaseema mein aisa koi Nizaam nahi tha .
Telangana State Waqf Board ney sadaqatnama tabdeeli mazhab ki ijrayi ki masdoodi se mutaliq na hi koi bazaabta elaan kya hai aur na hi is ki wajohaat batayi hain. Is khsoos mein jab ohdedaraan Waqf Board se rabt paida kya gaya to sirf itna hi bataya gaya ke Chief Executive Officer ney tabdeeli mazhab ke sadaqtnamon ki ijrayi masdood kardainey ka hukum diya hai aur yeh bataya hai ke is khsoos mein mazkoorah baala GO ki roshni mein riyasati Hukoomat se mazeed wazahat o Sarahat ke baad hi jari kiye jayen ge. CEO ke is iqdaam par muntkhiba Board bhi khamoshi ikhtiyar kiye hue. Sadarnasheen Waqf Board janab Mohammad Saleem bhi is khsoos mein lab kushayee se guraiz kar rahay hain. Is khusoos mein jab tahaqeeq ki gayi to ghair mussadeqa zaraye se pata chala ke aik intahi baa-asar Gair-Muslim khandan ki aik ladki ka tabdeeli mazhab ka sadaqatnama jari kya gaya tha jis par yeh maamla Waqf Board se rujoo kya gaya aur Waqf Board ki janib se is terha ke sadaqtnamon ki ijrayi ke ikhtiyar ke baaray mein sawalaat uthaaye gay hain jis ki binaa par yeh faisla kiya gaya hai. Yeh baa- asar khandan kisi sayasatdan ka hai ya koi bohat baday Officer ka hai maaloom nahi ho saka .
Ab sawal yeh paida hota hai ke agar Waqf Board Nav Muslim ko sadaqatnama jari karne se inkaar kardey to phir yeh log deegar ahem dastawizaat ke husool ke liye kaunsa rasta ikhtiyar karen? Agar yeh dekha jaye ke kya Waqf Board, ‘sadaqatnama tabdeeli mazhab’ ki ijrayi ka majaz hai ya nahin? toh jawab yahi hai ke qanoon Waqf ke tehat Waqf Board par yeh zimme daari aayed nahi hoti hai bilkul usi terha jis terha Waqf Board mein shoba Quzath ka qiyam aur Nikah/Talaq/ Khula ke sadaqtnamon ki ijrayi Waqf Board ke dairakaar mein nahin aate hain. Agar Waqf Board ke daira ekhtyaar ki bunyaad par sadaqatnama tabdeeli mazhab ki ijrayi masdood kar di gayi hai to phir Waqf Board ko shouba Quzath ke sath sath Nikah/Talaq/ Khula ke sadaqtnamon ki ijrayi bhi masdood kardeni chahiye aur is ziman mein koi mutabadil intizam kiya jana chahiye magar achanak sadaqatnama tabdeeli mazhab ki ijrayi ki masudi se un Nav-Muslim ko sakht karb o azmaish se guzarna pad raha hai jis ka madavah jald az jald kya jana chahiye.