Sunday, May 11, 2025
HomeIndiaWada Khilafi Mein Congress Aur BJP Ek Hi Sikkay Ke Do Rukh

Wada Khilafi Mein Congress Aur BJP Ek Hi Sikkay Ke Do Rukh

Lucknow: Congress ke intikhabi manshoor ko sabz baagh qarar dete hue Bahujan Samaaj Party ( BSP) sarbarah Mayavati ne tanqeed ki aur kaha ke BJP ki tarha wada khilafi karne wali congress ke tain bhi awam ke Etemad mein kaafi kami aayi hai. Uttar pardesh ke bahar party ke liye siyasi maidan ko wusat dayne ke liye koshan Mayawati ne Odissa se intikhabi muhim ka aaghaz kiya hai woh jumaraat ko Andhra Pradesh aur Telanagan mein party umeedwaroun ke haq mein intikhabi muhim chalayeingi .

Unhoun ne tweet kiya congress party ka lok sabha intikhabaat ke liye intikhabi manshur sabiq mein un ke wadon ki tarhan hi sirf dikhawa aur sabz baagh maloom hota hai. congress ke zareya lagataar wada khilafi karne ka hi nateeja hai ke is ke wadon par awam mein Etemad mein kami aayi hai. is muamlay mein congress aur BJP mein koi ziyada farq nahi hai aur is muamlay mein dono ek  hi sakay ke do rukhh hain .

BJP ke leader SP, BSP, RLD ittehaad se itna ziyada khaif hain ke woh aeye din masail ke bajaye ittehaad aur is ke Aala leadron ke khilaaf zaat paat aur deegar be tukki bayan baazi karte rehtay hain un harboun se mutasir hoye baghair intikhab mein kamyabi haasil karte hue inhen mu toad jawab dena hai. Mayawati Andhra Pradesh mein Tirupat ke SVU stadium mein pehli awaami rally se khitaab karen gi jabkay baad mein woh Telangana ke Darul huukumat ke ilaqay Basheer baagh ke LB stadium mein intikhabi rally se khitaab karengi. Andhra pradesh mein lok sabha ke sath assembly intikhabaat bhi honge. is intikhab mein BSP ne Pawan kalyan ki Jana sena party se ittehaad kiya hai. Telangana mein BSP akailey hi intikhabi maidan mein hain .-YTN STAFF